Ramzan
3 Admiyo Ki Dua Rad Nahi Hoti
Nabi kareem Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke 3 admiyo ki Dua rad nahi hoti: Aik Rozedar ki iftar ke waqt Dua, dusri adil badshah ki Dua aur teesri mazlum ki Dua. jise Allah Ta’ala badalo se upar utha dete hai aur us ke liye Asman ke darwaze khol diye jate hai.
Allah Ta’ala farmate hai ke Mai tumhari zarur madad karunga. Allah Ta’ala Sehri khane walo par rehmat nazil farmate hai.
Roza
Roze ka tarika Farishto ki zindagi jesa hai. Farishte na khate hai na peete hai. Wo Allah ki Ibadat karte hai. Rozedar ki zindagi aisi ho jati hai. Musalman puri zindagi me Farishta nahi ban sakte. In ke pas thoda moqa hai, sal me aik mahina.
Agar is mahine me koi naik amal kamyab ho jai to insan ka darja Farishte se bhi buland ho jata hai. Farishte ke liye naik amaal karna asan hai. Aur insan ko qurbani deni padti hai.
Ramzan Ki Dua
Allah Ta’ala ka irshad hai: Mera banda meri raza ke liye apna khana peena chod deta hai. Mai khud is ki qurbani ka badla dunga.
Ramzan ka pehla ashra rahmat. Dusra ashra maghfirat aur tisra ashra jahannum se azadi ka hai.
Ramzan me shaitan qaid hote hai. Take naik amal karne me asani ho. Ramzan me aik nafl farz ke barabar hai. Aik farz 70 farz ke barabar hai.
Taraweeh
Allah Ta’ala ne is mahine me pura Quran Asmane duniya par nazil Farmaya. Phir waha se Allah Ta’ala ne zarurat ke mutabiq ahista ahista duniya par nazil kya. Taraweeh ko sawab banakar Allah Ta’ala ne Quran kareem ki hifazat ka nizam banaya.
Taraweeh Quran pak sunney aur tilawat karne ka muqa hai. Jo sunney aur padhne wale dono ke liye bahut faida mand hai. Taraweeh Allah ki raza hai. Agar Teraweeh na hoti to Ramzan me Quran par itni tawajeh na hoti.
Taraweeh Ki Namaz
Pure Ramzan me Isha ke baad 20 rakat Taraweeh padhna Sunnat hai. Taraweeh me har 2 rakat me salam pherna aur har 4 rakat me thoda aaram karna mustahab hai. Ramzan ke pure mahine me 1 bar Taraweeh me Quran Pak khatam karna Sunnat hai.
Taraweeh Ki Dua
Shabe Qadar
Ramzan al Mubarak ki raato me se aik raat Shabe Qadar hai. Jo hazaro mahino se behtar hai. Agar kisi ko is raat me Ibadat ki sadat hasil ho to ise 83 sal 4 mah ki Ibadat ka sawab mile ga. Shabe Qadar 21/23/25/27/29 hai aur ye raat me aati hai.
Shabe Qadar ki Dua: اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْو فَاعْفُ عَنى
For English Click Here