Hazrat Saleh Alaihis Salam Aur Unki Ontni
Qaum Samood
Qaum Samood Qaum Aad ki wafat ke baad Arab ki sabse mashhur aur qadim tarin qaum hai. Is ka silsila nasab Nuh alaihis salam ke bete Saam se milta hai. Inka darul hukumat Madina Tayyaba ke shimal me maqam Hajar me tha. Jise ab “Madain Saleh” kaha jata hai. Kaha jata hai ke ye apne waqt ki ek mohzib, taraqi yafta, taqatwar aur amir qaum thi. Badi badi imarate banane ke liye pahado ko tarashna aur patthar tarashne walo ko bade bade but banane ke liye bhari raqam ada karna. Ye unki zindagi ka pasandida mashghala tha. Unke dilon me buto ke liye itni aqidat aur mohabbat ho gayi thi ke wo Allah Ta’ala ko chodkar unki ibadat ko apni najat ka zariya samajhne lage the.
Hazrat Saleh Alaihis Salam Ki Amad
Jab is qaum me shirk aur but prasti badh gayi. Chunache Allah Ta’ala ne Hazrat Saleh alaihis salam ko qaum samud ki hidayat ke liye rasool banakar bheja. Saleh alaihis salam Hud alaihis salam ke taqriban 100 saal baad paida hue. Is qaum ko apni shan o shokat aur buzurgi aur shirk o but parasti par bada naz tha. Saleh alaihis salam ne farmaya.
Aye logo Allah ki Ibadat karo iske ke siwa tumhara koi Hakim nahi. Isne tumhe Zameen se paida kiya. Sabse pehle mitti se banaya. Banaya aur rakha. Khane aur sawari keliye janwaro ka intezam kiya. Zamin ko abad karne ki tarkeebe batayi. Jab wo aisa Maherban aur Ehsan karne wala hai to admi ko chahiye ke Iman aur Itaat ke sath uski taraf ruju kare. Aur kufr o shirk waghera jinho ne gunah kiye hai. Is gunah ki maafi mango. Wo hamare bahut qareeb hai. Wo khud sab kuch sunta hai. Aur sache dil se ki gayi tauba aur astaghfar ko sunta aur qubul karta hai.
Qaum Samood Ne Kaha
Qaum samood ne kaha. Aye Saleh, umeed thi ke aap ek azeem aur nek aadmi honge, qaum aap ko buzurgo ka maqam samajh kar sar par bitha degi. Aap ki peshani se hikmat wa danayi ke aasar the. Sabko umeed thi ke mustaqbil qareeb me aap ki taraf se bada fayda hoga. Apne qaumi bhaiyo ki hikmat aur tadabbur se rehnumai karega. Aur badi taqat ke sath abayi mazhab ki himayat karega. Ye sach hai ke aap shuru se hi but parasti se nafrat karte the aur aam qaumi mazhab se alag thalag the. Albata, aap ki samajh aur fitri qabiliyat par bharosa karte hue, hame ye ummid thi. Aage chalkar aqal aur tajurba ki pokhtagi ke baad ye raveya baqi nahi rahega.
Lekin achanak aapne aisi baate karna shuru kardi. Jis ne tamam umeedo par pani pher diya. Aap ne hamare aabau ajdad ke qadim mazhab ke khilaf khula jihad shuru karke tamam toquat ko khak me mila diya. Kiya aap chahte hai ke hum ek mabud banale aur tamam purane mabudo ko chod de? Hamare nazdik buzurgo ke tariqe ke khilaf aisa mazhab ekhtiyar karna sakht shobe ki baat hai jise hamara dil kisi surat qabool nahi karta. Ummid thi ke bap dada ki rahe aap se roshan hongi. To mitane ka amal shuru hua.
Hazrat Saleh Alaihis Salam Ne Farmaya
Hazrat Saleh alaihis salam ne farmaya. Aye logo mai tumhare shukuk o shubhat se saaf rasta kaise chodu? Allah ne mujhe samajh ata farmayi. Aur apni Rehmat se mujhe Nabi ka maqam ata kiya. Ab farz karo ke mai Iski nafarmani karne lagun aur jin cheezo ko pahunchane ka hukum diya gaya hai wo na pahunchau to mujhe Uske azab se kon bachayega?
Apne haqiqi mohsin aur mohsin ki tarif karne ke bajaye. Aap mujhe Dawat o Tableegh se ruk jane ka mashora dekar naqabile talafi nuqsan pahunchana chahte hai. Aap ki guftagu se mujh me kuch nahi badhta siwaye is yaqin ke ke aap apne aap ko bahut bada nuqsan pahuncha rahe hai. Kya aap ko lagta hai ke aap hamesha bagh aur bahar ki isi aish o ishrat aur lazat se lutf andoz honge? Aur wo in khubsurat gharo se kabhi nahi niklenge jo pahad se tarashe gaye hai? Ya ye mazboot aur bhari imarate tumhe Allah ke azab se bachayegi? In khawabo ko apne dil se nikal do.
Hazrat Saleh Alaihis Salam Ki Qaum Ne Kaha
Hazrat Saleh alaihis salam ki qaum ne kaha. Asman ka koi farishta nahi hai. Balke hum jaisa admi aur wo bhi akela. Jis ke sath na koi taqat hai aur na koi party. Hame dabana chahte hai aur sab ko apna tabedar banana chahte hai aisa kabhi nahi hoga. Agar hum is jal me phas gye to hamari badi ghalti aur himaqat pagal pan hogi. Wo hame dhamki deta hai ke agar hum is par yaqeen na kare to aag me gir jayenge. Aur waqia ye hai ke agar hum iske tabe ho jaye to goya apne aap ko aag me gira rahe hai. Nabi keliye bas yehi reh gaya tha sab jhut hai. Halanke fakhar hai ke Khuda ne mujhe apna Rasool banaya hai. Aur puri qaum ko meri itaat ka hukm diya gaya hai. Bahut jald malum ho jayega ke dono fariqo me jhuta aur Mutakabbir kon hai.
Musalmano Ka Jawab
Qaum me bade bade Mutakabbir sardar aur dushman the. Wo muflis aur kamzor Musalmano ka mazaq udate the ke aaj bhi unhe bada admi nahi samjha jata. Lekin kya aap jante hai ke Saleh ko Khuda ne bheja hai? Musalmano ne jawab diya ke janne ka kya matlab hai? Tum bhi jante ho. Ha, hum ne dil se qubul kya hai aur uspar Iman laya hai. Is danish mandana jawab se mutakabbir log chonk gye aur kehne lage ke aap jo mante hai hum use ab bhi nahi mante. Phir aap jaise chand muflis logo ko mazhab tabdil karne me konsi badi kamiyabi hai?
Hazrat Saleh Alaihis Salam Ne Logo Se Farmaya
Hazrat Saleh alaihis salam ne logo se farmaya. Allah se daro aur meri baat mano. Mai aap ki bhalai ke liye kehta hu. In bade shaitano ke pichhe lag kar tabah na ho, ye to Zamin me burai phelane wale hai. Islah karne wale aur achche mashore dene wale nahi.
Qaum Ne Kaha
Qaum samood ne kaha. Aap me hum se badkar kya cheez hai ke aap Nabi hue. Lagta hai kisi ne jadu kya hai. Jis se aap ka dimag kam nahi karraha hai (Al Ayaz Billah). Agar nabi hai aur hum se bada darja rakhta hai. To Allah se Dua kare ke koi aisi nishani dikhaye jise hum qabul kare. Qaum samood ne kaha is patthar ki chatan se ek hamila oontni nikalo.
Hazrat Saleh Alaihis Salam Ki Dua
Hazrat Saleh alaihis salam ne Dua ki ke Allah Ta’ala ne apni Kamil Qudrat se ye nishan zahir kya. Hamila oontni Allah ki Qudrat se patthar se paida hui. Saleh alaihis salam ne qaum se farmaya jo dalil tum mang rahe the wo pahunch gayi. Saleh alaihis salam ki qaum ne inse ahed kiya tha. Agar aap kisi mazboot chatan se oontni nikalenge to hum aap par Iman layenge. Allah Ta’ala ne Saleh alaihis salam ki dua qabool farmayi aur aisa hi kya. Saleh alaihis salam ne inse kaha ke Allah ne aap ke kehne par mojiza dikhaya. Ab iman lane me kya dhiyan hai?
Allah Ki Qudrat
Ye oontni Allah ki Qudrat aur meri sadaqat ki nishani hai. Jise Allah Ta’ala ne meri dua par gher mamuli andaz me paida kiya. Iske huquq ka ehteram kare. Maslan Allah ki zamin me ghas khane aur pani peene se na roko. Isiliye Allah ki nishani ke sath jo tum ne khud mangi aur hasil ki. Burai se kam na lena warna badi afat ayegi. Shirk aur kufr ke zariye zameen me burai na phelao.
Kaha jata hai ke wo oontni itni lambi aur badi thi. Ke wo kisi jangal me charti ya kisi talab ka pani peeti sab maweshi kinare ki taraf bhagte. To Allah ne bari rakhi. Ek din wo jayegi aur ek din tamam janwar. Aur apni bari ke din is kuwwe ko Khali kardeti thi jisse wo pani peeti thi. Goya wo ek gher mamuli andaz me paida hui thi. Zindagi ki zaruri khususiyat bhi gher mamuli thi. Akhir kar log naraz ho gaye aur use qatal karne par amada hogaye.
Allah Ta’ala Ka Azab
Ek aurat ke ghar bahut maweshi the. Chare aur pani ki pareshani se usne qazaar bin salaf nami shakhs ko uksaya. Usne oontni ke paon kat dale. Chunache qaum samud ne oontni ko khatal kardiya aur Saleh alaihis salam ke qatal ka mansuba bhi banaya. 3 din baad azab aya. Jab azab ka hukum aya to Allah Ta’ala ne Saleh alaihis salam aur unke sathiyo ko bacha liya. Azab ke nuzul ke waqt unko zara barabar bhi khof na tha. Qaum samood par azab is tarah aya ke wo raat ko sorahe the. Niche se zalzala aya, aur upar se farishta chilaya. Aur is khofnak awaz se sab ke dil phat gaye. Qaum ki maut ke baad Saleh alaihis salam ne ehle Iman ke sath Palestine ki taraf hijrat ki.
English keliye click kare