Ashabe Kahf
Teesri Sadi Iswi me Room me ek badshah tha jis ka naam daqyanus tha. Badsha ek sakht but parast tha. Usne romio ke darmiyan but prasti ko aam karne aur Essiyat ko khatam karne ki koshish ki. Aur wo but prasti ko zulm aur zyadati se phailata tha. Aam logo ne tangi wo takalif ke khof aur chand din ki duniyawi nafa ke lalach se apne mazhab chodkar but prasti ekhtiyar ki. Isi daur ke kuch naujawano ke dilo me jin ka taaluq sultanat se tha. Khayal tha ke makhluk ki khatir Khaliq ko naraz karna durust nahi. Inke dil Allah ki muhabbat aur taqwa ke noor se mamur the. Allah Ta’ala ne inhe sabar, isteqamat, tawakal aur etemad ki daulat se nawaza tha.
Badsha Ke Samne
Badsha ke samne jakar unhone ye nara lagaya. Hum Uske siwa kisi ko Rab nahi kahenge. Aur Iman, himmat aur azadi ka muzahira karke dekhne walo ko dang aur hairan kardiya. Badsha ko un naujawano par taras aaya. Aur kuch dusri masrufiyat ne inhe fori tor par qatal hone se rok diya. Inhe apne case par dobara gour karne ke liye chand din ka waqt diya gaya tha.
Unhone Mashora Kiya
Un logo ne mashora kiya. Yane jab “Rab” ek hi hai. To kisi aur ko Rab manna himaqat hai. Rububiyyat aur Alwahiyat dono Iske liye makhsoos hai. Jaisa ke Tawheed parast Tawheed par wazeh dalail paish karte hai. Agar mushrik apne dawe me sachche hai to koi wazeh daleel kyun nahi late? Hum mushriko ke deen se alag hai. Zahiri tor par bhi unse dur rehna chahiye. Aur jab hum unke jhute mabudo se muh mod len to har taraf se toot jaye aur apne mabud ke aage jhuk jaye aur Iski taraf se rehmat aur maherbani ke ummidwar ban jayen. Shaher ke qarib pahad me chupna munasib hoga. Aur wapisi ke saheeh moqe ka intezar karenge.
Ashabe Kahaf 7 The
Unhone Dua ki ke aye Allah hamare kam ko Apni khas rehmat se bana. Aur Hidayat wo rehnumai ki raah me hamare tamam intezamat ko durust farma. Akhirkar, unhone shaher chod diya aur aik qaribi pahad me panah lee. Inhe Ashabe kahf kehte hai. Ashabe kahf 7 the. Ek kutta bhi unke sath tha. Kutta ghaar ke muh par baith kar in logo ki hifazat karta tha. Unhone apna ek muqarrar kya. Ke wo bhes badal kar kabhi shaher chala jaye. Jis cheez ki zarurat hai wo kharid sake aur shaher ki khabron se sabko agah karte rahe. Wo shakhs jo is kam ka zimmedar tha. Isne ek din itla di ke aaj shaher me hamari sarkari talashi hai. Aur hamare rishtedaro ko hamara pata batane par majboor kiya ja raha hai.
Allah Ta’ala Ne In Par Neend Taari Kardi
Ye guftagu jari thi ke Allah Ta’ala ne in sab par neend taari kardi. Kaha jata hai ke sarkari afsaran ne bahut talash kiya lekin pata na chal saka. Wo thak kar baith gaye aur badshah ki raye se un naujawano ke naam aur munasib halaat sise ki takhti par likh kar khazane me dal diya. Take aane wali nasle yad rakhe. Ke ek parti hairan kun tariqe se ghaib hogayi hai. Mumkin hai mustaqbil me koi alamat miljaye. Aur kuch ajeeb o ghareeb waqiat samne aaye.
Wo Sukun Se Aram Karrahe The
Allah ne aisi thapki di ke barso ghaar me sote rahe. Idhar udhar ki khabar inke kano tak na pahunchi. Allah Ta’ala ne apni kamil Qudrat se inki rehnumai aisi jagah ki jaha wo sukoon aur itminaan se aram kar rahe the. Jagah ki tangi ki wajah se inka dam ghutta nahi aur na hi kisi waqt dhoop me mubtala hote hai. Ghaar andar se kushada aur hawadar tha. Shimal ki taraf hone ki wajah se aisi surat hal thi ke Suraj zarurat ke mutabiq pahunch gaya aur bagher kisi nuqsan ke nikal gaya.
Allah Ta’ala Ne Inhe Jagaya
Phir 309 sal ke baad Allah Ta’ala ne apni Qudrat se unhe jagaya. Kaha jata hai ke wo ankhe khol kar sote the. Aur itni lambi neend ka asar inke jism par zahir nahi hua. Koi dekhe to samjhe jag rahe hai. Aur Allah Ta’ala ne in logo me izzat wo waqar aur is ghar me dahesht rakhi take log koi aisa tamasha na banaye jisse inko takleef ho. Inka kutta bhi sadiyo tak zinda raha. Allah Ta’ala ne apni Qudrat se inko itni der tak soye rakha. Isi tarah inhe waqt par jagaya.
Ek Dusre Se Baate Karne Lage
Jab wo bedar hue to ek dusre se is bare me baat karne lage ke hum kitna soye hai. Kuch ne kaha adha din. Iska matlab bahut kam hai. Dusro ne kaha ke fuzool bahes me padne ka kiya faida, Allah hi janta hai ke hum kitni der soye. Ab apna kam karo. Ye rupiya kisi admi ko dekar shaher bhejo take wo dukan se halal aur saaf suthri cheeze kharid sake. Zaruri hai ke wo bahut ehtiyat se ruju kare aur narmi aur tadabbur se paish aaye take shaher ke kisi ko hamare bare me pata na lage, warna badi musibat hogi.
Zalim Badsha
Agar zalim badsha ko pata chala to ya to hame sangsar kar diya jayega ya zulm wo ziyadati ke zariye Deen se kharij kardiya jayega. (Alayaz Billah) Agar aisa hua to hum jis aala kamiyabi aur Khush hali ki khwahish rakhte hai wo kabhi hasil nahi hogi. Kyunke zulm aur zyada tiyo ki wajah se deen haq se muh modna pur azm ehle Iman ka kaam nahi hosakta.
In Me Se Ek Shaher Me Dakhil Hua
Inme se ek rupiya lekar shaher me dakhil hua to waha sab kuch upar dekha. Is arse me kayi sadiya badal chuki thi. Rupiye ke is sikke ko dekh kar shaher ke log hairan reh gye. Badshah ka naam kya hai aur ohod kiska hai? Guman hua ke ye shakhs kahi se purana paisa laya hai. Ahista ahista muamila badsha tak pahunch gaya. Usne wo purani takhti mangi jis par kuch naam aur pate likhe the. Ke ye log fula sal me na malum tariqe se ghaib hogaye hai. Tehqiq se sabit hua ke ye wahi guruh hai jo is tarah ghaib hua ke in ki zindagi aur maut ka pata nahi chal saka.
Allah Ta’ala Ka Murdo Ko Dobara Zinda Karna
Us waqt shaher me murdo ke ji uthne ka bada jhagda tha. Koi kehta tha ke maut ke baad koi zindagi nahi. koi kehta tha ke sirf ruhani zindagi hai jismani nahi. Koi jismani aur rohani dono par yaqeen rakhta tha. Badsha waqt momin tha. Ek taraf, me ek misal dena chahta tha jis se wazahat karna asan hojaye. Allah ne ye misal bheji. Akhir kar akhirat ke munkar bhi is herat angez waqiye ko dekh kar aur sunkar Akhirat par Iman le aaye. Is nazare ne khas tor par inki samajh ko mutasir kiya ke Allah Ta’ala ne hame khabar kiya hai ke ye kahani dusri bar jine se kam nahi.
Ashabe kahaf Ke Mutaliq Bahes
Allah Ta’ala ne logo ko us waqt Ashabe kahf ki halat se agah kiya. Jabke Ashabe kahaf ke hawale se behas o takrar jari thi. Ke wo chand naujawan jo kafi arse se sun rahe the achanak ghaib hogaye. Phir kuch pata nahi chala, kaha gaye? Inki nasle kaha phaili hogi? Wo ab tak kiya zinda rahe hoge. Sab mar chuke hoge.
Ghar Ke Qarib Ibadat Gah
Kuch log is masale ke bare me kuch kehte the aur kuch apni raye ka izhar karte the. Ke Allah Ta’ala ne foran haqiqat ko zahir kardiya. Aur tamam ekhtelafat ko khatam kardiya. Ye malum nahi ke Ashabe kahf iske baad zinda rahe ya faut hue. Inka inteqal kab hua? Zinda hai to kab tak rahenge? Taham shaher ke logo ne inki ajeeb halat se agah hone ke baad is ghar ke qarib yaadgar ke taur par makan banana chaha jis se logo ko sahulat ho. Albata jo log aqalmand aur taqatwar the in ki raye ye thi ke ghaar ke qarib Ibadat gah banayi jaye. Ashabe kahf Nasrani yane asal Eesayi mazhab ke perokar the. Jin logo ne waha Ibadat gah banaya wo bhi Eesayi the.
For English Click here