Hazrat Ibrahim Alaihissalam

Hazrat Ibrahim alaihissalam Iraq me Hazrat Issa alaihissalam se 2000 sal pehle paida hue. Wo Allah ke Azeem paighambar aur logo ke liye rehnuma the. Allah Taala ne apko khususi Rehmat, barkat aur izzat se nawaza tha. Allah Taala ne apko Nabi banane ke sath sath mal wo daulat se bhi nawaza tha.
Mehman Nawazi
Aap bahut sakhi the, farakh dily se dete the aur apne mehmaano ki khub khidmat karte the. Iske alawa aap bahut saber, burdbar, Allah par kamil bharosa rakhte the aur logo ke sath narmi aur meherbani se pesh aate the.
Hazrat Ibrahim Alaihissalam Ka Bachpan
Hazrat Ibrahim (AS) ne bachpan se hi takabur aur shirk ke khilaf sonchna shuru kardiya. Us waqt unki umar taqriban 12 sal thi. Jab wo sonchne lage ke Unka Haqiqi Rab kon hai to unhone Suraj, Chand aur Sitaro ko dekha aur har ek ke baare me kaha.
Sitara
Jab raat hui aur Hazrat Ibrahim (AS) ne ek Sitara dekha to farmaya. Ye Mera Rab hai! Lekin jab wo Sitara ghayab hogaya to unhone kaha ke mai aise Rab ko pasand nhi karta jo ghayab hue.
Chand
Phir jab Chand ko tulu hote dekha to farmaya. Ye Mera Rab hai! Lekin jab wo ghayab hogaya to unhone kaha: agar Mera Rab meri rehnumayi na kare to mai gumraho me se ho jaunga.
Suraj
Phir jab Suraj ko tulu hote dekha to farmaya: ye Mera Rab hai jo sabse bada hai. Lekin jab Suraj ghurub hua to farmaya: Aye meri qaum! Mai in se alag hu jin ko tum Allah ke sath sharik thairate ho.
Hazrat Ibrahim Alaihissalam Ki Koshish
Jab Hazrat Ibrahim (AS) ne apni qaum ko buto aur shirk ki pratish karte dekha aur unki gumrahi ko mehsoos kya to unhe sidha rasta dikhane ki koshish ki. Sab se pehle unhone apne baap se kaha. Abba! Tum aisi cheezo ki ibadat kyu karte ho? Jo sun nhi sakta, dekh nhi sakta, bol nahi sakta? wo khud be bas aur kamzor hai, khud ko bacha bhi nhi sakte. Phir wo dusro ki madad kaise karenge?
Allah Ki Ibadat
Abba! Sidha aur sacha rasta wahi hai jo mai apko bata raha hu. Ke aap sirf ek Allah ki Ibadat karo, wahi zindagi aur maut dene wala hai. Wo sab ko rizq deta hai, aur uske Fazal se hum Akhirat me kamyab ho sakte hai. Phir aap ne wahi baate apni qaum ko samajhai. Lekin afsos! Kisi ne aap ki baat nhi suni.
Walid Azar
Hazrat Ibrahim alaihissalam ke walid ka naam azar tha. Wo ek but banane wala tha. Wo but parston ka sardar bhi tha. Azar badsha namrud keliye kam karta tha. Jo khud ko khuda samajhta tha. Namrud ka darbar shirk aur kufr ka markaz tha. Azar ne Ibrahim (AS) se kaha ke agar tumne hamare buto ki tohin karna band na kya to mai tumhe sangsar kardunga.
Sidha Rasta
Hazrat Ibrahim alaihissalam ne apni qaum se farmaya. Aye meri qaum! Isse badi aur wazeh ghalti kya hosakti hai? Ke ek muaziz admi apne hatho ke Pattharo ko khuda samjhe, unke aage sajda rez hokar dua kare? Ye kisi aqalmand aur muaziz admi ka kam nhi hai. Allah Taala ne mujhe sirf Allah ki Ibadat, Akhirat aur Deen ki sahih chizo ka sahih ilm ata farmaya hai. Agar tum meri baat manoge to mai tumhe sidha rasta dikhaunga.
Badi Dalil
Qaum ne kaha. “Agarche aqal, fitrat ya mutaber riwayat se hamari baato ka koi sabut nhi hai, phir bhi hamare pas badi dalil hai. Hamare abao ajdad ne hamesha in buto ki partish ki hai, to hum apne buzurgo ke tariqe ko kaise chod sakte hai?”
Hazrat Ibrahim Alaihissalam Ne Farmaya
Hazrat Ibrahim alaihissalam ne farmaya. Apki baato se sabit nhi hota ke aap sache aur aqalmand hai. Balke malum hua ke tumhare baap dada bhi tumhari tarah gumrah aur jahel the. Aur tum bhi unke piche chal kar tabah ho rahe ho.
Qaum Ne Kaha
Jab Ibrahim (AS) ne apni qaum ke aqide ke khilaf baat ki to puri qaum heran reh gayi. Kehne lage kya waqi ye tumhara aqida hai ya tum mazaq kar rhe ho?
Allah Sabka Rab Hai
Ibrahim alaihissalam ne farmaya. Mera pokhta yaqin hai aur mai pure yaqin ke sath kehta hu ke Mera Rab apka Rab aur sabka Rab ek Allah hai. Jisne Asmano aur Zamin ko paida kya. Koi dusra uski Badshahi me sharik nhi ho sakta.
Yaqin
Hazrat Ibrahim (AS) ne ek din Allah Taala se arz kya: aye Mere Rab! Mujhe dikhao ke aap murdo ko kaise zinda karte ho. Allah Taala ne farmaya. Kya apko yaqin nhi hai? Ibrahim alaihissalam ne farmaya. Mujhe yaqin hai, lekin mai chahta hu ke mera dil zyada mutmain ho.
Allah Taala Ne Farmaya
Allah Taala ne farmaya: 4 parinde le lo. Aur unko apne sath milalo. Phir unhe zubah karke tukde tukde kar de. Aur un tukdo ko mukhtalif pahado par rakhe. Phir unko bulao. Wo dodte hue apke pas ayenge. Ibrahim (AS) ne Allah ke hukm ke mutabiq 4 parinde liye. Ek mor, ek murg, ek kawa aur ek kabutar. Unhe apne pas rakha, unki parvarish ki aur unhe itna manus kya ke jab wo unhe bulaye to wo foran ajaye. Phir un charo ko zubah karke unke gosht ke tukde kiye aur un tukdo ko mukhtalif pahado par rakh diya. Ek pahad par sar, dusre par par, tisre par dhad aur chothe par pao rakhe. Phir Hazrat Ibrahim (AS) pahado ke darmiyan khade ho kar parindo ko pukarne lage.
Allah Ki Qudrat
Allah ki Qudrat se jis parinde ko pukara gaya, iska sar haua me buland hua, phir jism joda gaya, phir par lage, phir pao. Aur parinda zinda bhagta hua wapas aya. Isi tarah baqi 3 parinde bhi zinda wapas agye.
But Bebas Hai
Hazrat Ibrahim (AS) ne apni qaum se kaha: kya ye chize jinki tum ibadat karte ho tumhe faida pahucha sakte hai? Ya agar tum unki ibadat na karo to wo tumhe nuqsan pahucha sakte hai? Zahir hai ke jo but apne aap se makhi ko bhi nhi bhaga sakte wo kisi aur ko bhala ya nuqsan pahucha sakte hai? Phir aisi bebas aur be aqal chizo ko devta qarar dena kahan ki aqalmandi hai?
Hamare Buzurg
Qaum ne kaha: hum in lambi behso aur zidi baato par yaqin nhi rakhte. Hamari muhabbat aur ibadat in chizo par qaim nhi hai. Lekin hamare pas 100 dalail me se ek dalil ye hai ke hamare buzurg bhi aisa hi karte the. Kya hum ye manle ke wo sab ehmaq the.
Hazrat Ibrahim Alaihissalam Ki Qaum
Hazrat Ibrahim (AS) ki qaum kaha karti thi ke tum hamare mabudo ki beizzati karrahe ho. Isliye dado, kahi tum (maazallah) diwana na ho jao ya kisi badi afat me mubtala hojao.
Hazrat Ibrahim Alaihissalam Ne Jawab Diya
Hazrat Ibrahim (AS) ne jawab diya ke mai tumhare in shariko se kyu daru jinhe tum ne banaya hai? Aur tum kyu nhi darte ke tum Allah ke sath inko sharik thehrate ho jin ke liye Allah ne koi dalil nazil nhi ki. Mai ne aapko saf saf bata diya hai, mai ne apni zimedari puri kardi hai. Ab agar tum na manoge to nuqsan uthane wale hoge. Jis tarah qaum aad aur thamud isse pehle unki nafarmani ki wajah se halak hochuke the.
Asmano Aur Zamin Ka Rab
Hazrat Ibrahim (AS) ne farmaya: tumhara Rab Asmano aur Zamin ka Rab hai. Jisne in sab ko paida kya, aur mai ispar yaqin rakhta hu. Aur Allah ki qasam jab tum waha se chale jaoge to mai tumhare buto ke sath zarur kuch karunga. Ye baat Ibrahim alaihissalam ne ahista se kahi thi. Kuch logo ne suna aur zyada tar ne nhi suna. Sunne walo ne parwa nhi ki. Kyunke wo samajhte the ke ek nojawan puri qaum ke devtao ko kya nuqsan pahuncha sakta hai.
ILM Nujum
Hazrat Ibrahim (AS) ki qaum ilm nujum (sitaro ka ilm) par yaqin rakhti thi. Hazrat Ibrahim (AS) ne unhe dikhane ke liye Asman ki taraf dekha aur kaha. Meri tabiyat theek nhi hai, mai bimar hone jaraha hu. Jab unhone ye kaha to logo ne samjha ke Ibrahim ko sitaro se malum hua hai ke wo jald bimar hone wale hai. Us waqt wo apne kisi tehwar me shirkat keliye shaher se bahar ja rahe the. Hazrat Ibrahim (AS) ki baat sunkar unhe malum hua ke wo waqai bimar hai. Isliye unhone inhe apne sath le jane ke qabil nhi samjha aur inhe tanha chod diya.
Hazrat Ibrahim (AS) Ka Buto Ke Mandir Me Jana
Hazrat Ibrahim (AS) ka maqsad ye tha ke jab wo akele honge to in jhute khudao ko kuch karne ka moqa milega. Chunacha wo but mandir me gaye aur waha rakhe buto se mukhatib hokar kaha. Ye khane aur nazrane jo apke samne rakhe gye hai. Tum Kyu nhi khate agarche apki shakle khane wale ki tarah dikhayi deti hai.
Bejan But
Jab buto ne khane ka jawab na diya to Hazrat Ibrahim (AS) ne farmaya. Tum bolte kyu nhi. Yane tumhari shakal to insan ki si hai lekin tum me koi rooh nhi dali gayi. Kitni ajeeb baat hai ke zinda insan aise bejan aur behis buto ke samne sajda rez hote hai aur apni zarurato me unse madad mangte hai.
Hazrat Ibrahim Alaihissalam Ka Buto Ko Todna
Phir Hazrat Ibrahim (AS) ne tamam buto ko zor se mara aur tod diya, sirf ek bada but reh gaya. Jo ya to saiz me sabse bada tha ya sabse zyada izzat wala. Aur jis kulhadi se unhone buto ko toda tha, isi bade but ke gale me latka diya. Take jab log wapas akar ye manzar dekhe to unka dhayan is bade but ki taraf ho ya wo is par ilzam lagaye.
Logo Ki Hairat
Jab log mele se wapas aye to dekha ke tamam but toote hue hai. Wo hairan hue aur bole. Ye gustakhi kis ne ki hamare mabudo ke khilaf ye tohin kisne ki? Bilashuba jis ne bhi ye kya wo bada zalim aur sharir hai. (Astagfirullah). Ye shayad unlogo ne kaha tha jinhone Hazrat Ibrahim (AS) ko ye kehte suna tha. Allah ki qasam! Mai tumhare buto ke sath zarur kuch karunga.
Wo Jo Buto Ke Baare Me Bura Bolta Hai
Hum ne suna hai ke ek nojawan hai jo buto ke baare me kuch kehta hai. Uska naam Ibrahim hai. Ye unlogo ne kaha jinhone Hazrat Ibrahim (AS) ki baate pehle sune the. Wo hamesha hamare mabudo ko bura bhala kehta hai. Lihaza, wahi hona chahiye jisne ye kya.
Logo Ne Kaha
Logo ne kaha ke Ibrahim ko bulaya jaye aur tamam logo ke samne unse baat ki jaye. Take sab dekh sake aur sune aur gawah rahe. Ke jo saza hum use denge wo uske laiq thi. Ye unka irada tha. Lekin Hazrat Ibrahim (AS) ka irada ye tha ke tamam logo ki majlis me moqa mile. Take wo mushrikin ko bewakoof bana sake aur haq ki taqat ko sabke samne paish kar sake.

Hazrat Ibrahim Alaihissalam Ne Jawab Diya
Logo ne Hazrat Ibrahim alaihissalam se kaha. Aye Ibrahim, kya tumne ye sab hamare mabudo ke sath kya hai? Hazrat Ibrahim (AS) ne jawab diya ke tum mujhse kyu puch rahe ho? Is bade but se pucho jo sidha khada hai. Aur uske pas todne ka hatyar hai. Shayad isne ye sab chote but tod diye hai.
Bada But
Ab apke pas kya subut hai ke aisa nhi hua? Kya duniya me aisa nhi hota ke bade sanp chote sanpo ko kha jate hai, badi machli chuti machliyo ko nigal jati hai aur bade badsha chuti mamlakto ko taba kardete hai? Phir ye bhi mumkin hai ke bade but ne choto ko tod diya ho. isliye behtar hai ke aap khud apne mabudo se puche ke ye sab kaise hua. Agar wo bol sakte hai to kya mere sach ya jhut ka faisla nhi karenge?
Buto Ka Mandir
Phir unhone kaha: aye logo! Tum ne apne aap par zulm kya hai. Kyuke tumne Ibrahim ki dhamki sunne ke bawajud buto ke mandir ko khula chod diya. Tum ne apne mabudo ki hifazat ka koi intezam nhi kya.
Faida Ya Nuqsan Nhi Pahucha Sakta
Qaum ne kaha. “Aye Ibrahim! Tum hum se wo baat kyu kehte ho jo namumkin hai, kya kabhi pattharo ne bhi kaha hai?” Hazrat Ibrahim (AS) ne farmaya: tumhe sharam aani chaiye ke tum ek aise but ko khuda mante ho jo ek lafz bhi na bol sake, musibat ke waqt tumhari madad na kar sake aur tumhe koi faida ya nuqsan na pahucha sake. Kya aap itni sada si baat bhi nhi samajh sakte?
Qaum Aur Saza
Qaum ne kaha: hum Ibrahim ko alfaz me shikast nhi de sakte. Ab sirf ek hi rasta hai hame apne mabudo ki madad karni chaiye, halanke wo apni madad nhi kar sakte. Aur hame Ibrahim ko sakht saza deni chaiye. Agar hum ne aisa na kya to hamari koi izzat baqi nhi rahegi.


Badsha Namrud
Phir unki shikayat badsha namrud tak pahuchi jo khud ko khuda kehta tha. Namrud ne Ibrahim alaihissalam ko pukara. Wo badsha chahta tha ke log uske ghurur aur shan ke aage jhuk jaye. Jab Hazrat Ibrahim alaihissalam namrud ke samne aaye to sajda nhi kya. Usne wajeh puchi to Hazrat Ibrahim (AS) ne kaha ke mai apne Rab ke siwa kisi ko sajda nhi karta.
Namrud Ne Kaha
Namrud ne kaha: mai rab hu! Hazrat Ibrahim (AS) ne jawab diya: mai kisi badsha ya hakim ko rab nhi kehta. Rab wahi hai jo zindagi deta hai aur maut deta hai. Namrud ne 2 qaidiyo ko bulaya, usne ek begunah ko qatal kya aur dusre mujrim ko chod diya, phir usne kaha. Dekho mai jise chahu maar sakta hu aur jise chahu chod sakta hu. Ibrahim (AS) ne farmaya: Allah Suraj ko mashriq se nikalta hai. Ab agar tu khuda hai to mujhe maghrib se Suraj dikha. Ye sunkar namrud hairan reh gaya, uske pas koi jawab nhi tha aur wo zid aur dushmani par utar aaya.

Saza Ka Faisla
Ab Hazrat Ibrahim (AS) ko aag me jalane ki saza ka faisla baap, qaum aur badsha ne milkar kya. Jis tarah Hazrat Ibrahim (AS) ne buto ko toda tha aur unke dilo ko jalaya tha, usi tarah wo Hazrat Ibrahim (As) ko aag me jalakar badla lena chahte the. Unka khayal tha ke is tarah log buto se zyada aqidat rakhne lagenge aur unse darne lagenge. Take ainda koi unke khilaf bolne ya aisa kam karne ki jurrat na kare.
Badsha Ka Mashora
Badsha ke mashore par qaum ke logo ne kai dino tak ek khas jagah par aag jalayi. Baaz riwayaat me aaya hai ke aag 40 Zamino ke barabar thi (yane wo bahut badi aur unchi thi) itni badi thi ke uski bulandi Asman tak pahuch gayi.
Aag Ke Shole
Kaha jata hai ke aag itni garam thi ke agar koi parinda us par udta to jal kar gir jata. Aag itni phel gayi ke uske shole aas pas ki chizo ko bhi jalane lage. Aag itni badi thi ke koi insan uske qarib bhi nhi ja sakta tha. Wo itni tezi se jal rahi thi ke koi insan apne hath se Hazrat Ibrahim (AS) ko usme nhi dal sakta tha. Log pareshan the ke itni taqatwar aag ke qarib pahuch kar unhe usme phenkna bahut mushkil hoga.
Shaitan Ne Unhe Mashora Dya
Us waqt shaitan budhe ki shakal me namudar hua. Aur unhe Hazrat Ibrahim (AS) ko dur se aag me phenkne keliye ek gulail (ek badi gulail) ka istemal karne ka mashora diya. Us waqt ke logo ka khayal tha ke ye koi aqalmand burdha hai jo unki madad kar raha hai.
Jibraeel Alaihissalam
Jab Hazrat Ibrahim (AS) ko namrud ke hukm par aag me dala jara tha to Jibraeel (AS) unke pas aaye aur kaha. Agar aap chahe to mai apki madad kar sakta hu. Ibrahim alaihissalam ne pucha: kya ye Allah ka hukm hai? Jibraeel (AS) ne farmaya: nhi, ye meri taraf se hai. Hazrat Ibrahim (AS) ne farmaya: phir mujhe tumhari madad ki zarurat nhi. Mera Rab mere liye kafi hai aur mai usi par bharosa karta hu. (Hasbiyallahu wa nimal wakeel) Iske baad unhe ek gulail ke zariye aag me dal diya gaya.
Allah Ke Hukum Se
Allah Taala ne aag ko hukum diya: “Aye aag, Ibrahim keliye thandi ho, lekin use taklif na ho.” Yane aag itni thandi hogayi ke Ibrahim ke jism aur rooh ko taskin deti thi, taklif da nhi thi. Aag me shole aur angare the lekin Hazrat Ibrahim (AS) ko koi nuqsan na pahucha sake. Ye hame sikhata hai ke sab kuch Allah ke hukm se hota hai. Allah na chahe to aag jaisi chiz bhi kisi ko jala nhi sakti. Lekin is khuli nishani aur mojize ko dekh kar bhi namrud aur uski qaum Iman na laye.
Mere Rab Ne Mujhe Bachaya
Phir unhone apni qaum ko phir samjhaya: buto ki puja karna purani himaqat hai. Ye tamam dostiya aur mohabbate is duniya me thode dino ke liye hai. Qiyamat ke din tum ek dusre ke dushman ho jaoge aur tumhara anjam jahanum ki aag hoga. Waha apki madad karne wala koi nhi hoga. Us din apko jahanum ki aag se koi nhi bacha sakega. Jis tarah mere Rab ne mujhe duniya ki aag se bachaya.
Allah Keliye Koi Chiz Mushkil Nhi
Apne bare me socho, isse pehle ke tum kuch bhi na ho. Allah ne apko paida kya. Isi tarah wo tumhe marne ke baad dobara paida karega. Allah keliye koi chiz mushkil nhi. Aap ko sirf itna samajhna hai ke jis Allah ne apko pehli bar bagher kisi misal ke paida kya, apko dobara paida karna uske liye aur bhi asan hai.
Allah Ki Makhluq
Apne alawa duniya ki chizo ko dekho aur ghor karo ke Allah ne Makhluq ko kaise paida kya hai. Zamin me ghum phir kar dekho, har taraf uski Qudrat ke aasar hai. Jab Allah ne pehli bar paida kya to uske liye dobara paida karna kyu mushkil hoga? Qayamat ke din wo apne adal ke sath jisko chahega saza dega aur jis par chahega Reham karega. Allah Taala jisko saza dena chahe wo na Zamin me chup sakta hai aur na Asman par jakar. Allah ke mujrim ko koi unchi ya nichi jagah panah nhi de sakti.
Dekho jab tumhare Muslim leader ne dekha ke unke baap ka rasta ghalat hai to unhone use chod diya. Aap ko bhi aisa hi karna chaiye. Aur agar tum apne maa baap aur bujurgo ki pairwi par marne ko tayar ho to us baap ki pairwi karo jisne duniya me haq wo insaf ka jhanda buland kya tha. Aur apne bacho ko nasihat ki thi ke mere baad sirf Allah ki Ibadat karo, kisi aur ki nhi.
Allah Bada Maherban Hai
Hazrat Ibrahim (AS) ne apne walid se farmaya: aba jan! Shaitan ki itaat chod do kyuke shaitan Allah ka bada nafarman hai. Allah bahut mehrban hai aur apne taman bando par meharbani karna chahta hai. Lekin mujhe dar hai ke tumhari buraiyo ki wajah se Allah Taala naraaz hojaye aur tum par koi badi afat nazil ho aur hamesha ke liye shaitan ke sathi na ban jao.
Kufr Aur Shirk
Yane agar tum musalsal kufr aur shirk karte rahe to hosakta hai ke ainda Iman lane aur tauba karne ke qabil na ho, aur hosakta hai ke tum shaitan ke dosto me shamil ho jao aur phir hamesha ke liye azab me dal diye jao.
Hazrat Ibrahim (AS) Ke Walid Ne Ghuse Se Kaha
Hazrat Ibrahim (AS) ke walid ne unki baat sunkar ghuse se kaha: tum hamare mabudo ko nhi mante, tumhara iman kharab hogaya hai. Ab apni ye baate aur nasihate band karo. Warna tumhe buri baate sunni padegi aur mai khud tumhe pattharo se maar dalunga. Agar tum apna bhala chahte ho to mujh se hamesha ke liye door ho jao. Mai tum ko nhi dekhna chahta. Yaha se chale jao isse pehle ke mai tum par hath uthao. Assalamualaikum ye alvidai salam hai.

Hazrat Ibrahim Alaihissalam Ki Dua
Hazrat Ibrahim alaihissalam ne farmaya. Chunke tum par meri nasihat ka koi asar nhi hua balke ulta tum mujhe dhamkiya derahe ho to ab mai tumhare shaher me nhi rahunga. Lekin baap hone ki wajah se Hazrat Ibrahim (AS) ne farmaya. Mai aap ke liye Allah se Maafi mangta rahunga. Phir apne waade ke mutabiq Dua karte rahe.
Walid Keliye Dua
Hazrat Ibrahim (AS) ne sirf us waade ki wajah se apne walid keliye Maghfirat ki Dua ki aur wo bhi sirf us waqt tak jab tak ye sabit na hojaye ke wo kufr, shirk aur Allah ki dushmani me marenge.
Hazrat Ibrahim (AS) ko Musalman Hone Ki Ummid Thi
Kyuke uski maut se pehle ummid thi ke wo tauba karke Musalman ho jayega aur Allah use Maaf kardega. Lekin jab ye wazeh hogaya ke wo kufr wo shirk me marega aur haq ka dushman rahega to Hazrat Ibrahim (AS) ne usse qata talluq karliya aur uske liye Dua aur Astaghfar karna chod diya.
Nabi Ka Sabar
Pehle aap narmi aur muhabbat se Dua karte the. Lekin jab Allah Taala ne wazeh tor par farmaya ke mushrikin keliye Dua jaiz nhi hai. To aap ne uski bhalai ki dua karna chod di. Aur is gham ko ek Nabi ke sabar wa isteqamat ke sath qubul kya.
Allah Taala Ka Wada
Qayamat ke din Hazrat Ibrahim (AS) Allah Taala se kahenge: Aye mere Rab! Tum ne mujhse wada kya tha ke tum mujhe zalil nhi karoge. Lekin agar aaj mere walid ko sab logo ke samne jahanum me dal diya jaye to isse badi zillat aur kya hogi.
Walid Ka Chehra
Us waqt, unke walid ka chehra badsurat janwar jaisa nazar ayega. Aur Farishte use ghasit kar jahanum me le jayenge. Shayad aisa isliye hoke log pehchan na paye. Kyuke ruswai tab hoti hai jab log kisi ko pehchane. Jab jahanum me kise dala gaya hai uski koi pehchan nhi hai to phir bete ke liye sharam ya ruswai koi mani nhi rakhti.
Hijrat Ka Faisla
Jab unki qaum se ummide khatam hui aur unke walid ne bhi sakht ravaiya ekhtiyar kya to Hazrat Ibrahim (AS) ne waha se hijrat ka faisla kya. Aur apni ahliya Sara (AS) aur bhatije Hazrat Lut (AS) ko sath lekar waha se chale gye.
Hazrat Lut Alaihissalam
Lut alaihissalam Hazrat Ibrahim alaihissalam ke bhatije the. Hazrat Ibrahim (AS) ki qaum me se koi shakhs aap par Iman nhi laya, sirf Lut alaihissalam unki baato par foran Iman le aaye. In dono ka taluq Iraq ke shaher babil se tha. Allah Taala ne Hazrat Ibrahim (AS) ko sham ka rasta dikhaya, unhone Allah ki khatir hijrat ki aur apne reshte daro ko chod diya, Allah Taala ne unhe uska behtar badla diya take pardes ki tanhai dur hojaye aur unke dil ko sukun wo itmenan nasib ho.
Sara Alaihimussalam
Sara alaihimussalam Ibrahim alaihissalam ki chicha zad behan thi jab aap ne Sara se shadi ki to us waqt Hazrat Ibrahim (AS) ki umar taqriban 25 sal thi. Allah Taala ne unko 2 bete ata kiye, dono Nabi hue. Un dono ki aulad se Muhammad sallallahu alaihi wasallam aur Bani Israel ke dusre Ambiya paida hue.
