Hazrat Salman Farsi (R.A) ka Waqia
Hazrat Salman Farsi (R.A) ne deen ki talash me bahut taklife bardasht ki. Kayi mumalik me gaye. Salman Farsi (R.A) ki umar bahut ziyada hui, kisi ne kaha hai 350 saal. Salman Farsi (R.A) ne apne Iman lane ka qissa sunaya. Mai soba Asfahan ke aik muqam ka rehne wala hu mere mazhab me aag ki puja ki jati thi. Mai ne apne qadeem mazhab me itni mehnat ki ke mai uska muhafiz ban gaya.
Esaaiyo Se Mulaqat
Mere walid ne aik bar mujhe mere dada ke pass bheja tha. Raste me, mai aik Esaaiyo ke Church ke pass se guzra. Mai waha sair keliye gaya, unki ibadat dekhkar mujhe accha laga. Aur mujhe ye deen pasand aane laga aur mai sham tak waha raha. Jab unse pucha gaya ke is mazhab ka markaz kaha hai to unho ne kaha ke mulk Sham me hai. Raat ko ghar wapis aaya to ghar walo ne pucha sara din kaha guzara?
Mai ne qissa sunaya, baap ne kaha ke ye deen accha nahi hai. Tumhara aur tumhare buzurgo ka deen behtar hai mai ne kaha nahi wo mazhab behtar hai. Walid sahab ne mujh par shak kya ke mai kahi bhag jaunga. To mujhe ghar me qaid kar diya gaya.
Mulk Sham ka Safar
Mai ne un Essaiyo ko paigham bheja ke mujhe bataye ke shaam ke tajir jo aksar aate the. Kuch tajir aaye aur un Essaiyo ne mujhe ittla di. Jab wo tajir wapas jane lage to mai bhaga aur unke sath shaam chala gaya. Waha pahuch kar tehqiq ki ke is deen me sab se zyada maher kon hai? Logo ne kaha ke church me aik shakhs hai, mai uske pass gaya. Aur usse kaha ke mai tumhare deen me dakhil hona chahta hu. Aur mai aap ki khidmat me hazir hona chahta hu. Wo maan gaya aur mai uske sath rehne laga. Lekin wo achcha admi nahi tha. Wo logo ko sadqa karne ki targhib deta aur jo kuch jama hota use apne khazane me rakhta. Wo margaya aur uski jagah aik aur shakhs aaya jo usse behtar tha aur mai uske sath rehne laga.
Hazrat Salman Farsi Mosul Me
Akhir kar wo bhi marne laga to mai ne usse kaha ke wo mujhe kisi ke sath rehne ki wasiyat karde. Unhone kaha ke aik shakhs mosul me rehta hai, aap uske pass jayen. Mai uski mout ke baad mosul chala gaya. Aur us shakhs ko apni kahani sunayi, us ne mujhe rakha. Wo behtareen admi tha. Akhir wo bhi marne laga to mai ne usse puchha ke ab kahan jaun?
Hazrat Salman Farsi Nusaybin Me
Farmaya: Nusaybin me fulan ke pass jao. Mai iske pass gaya aur use apni kahani sunayi, usne mujhe apne sath rakha. Wo bhi aik achcha admi tha. Jab unki wafat ka waqt aaya to mai ne pucha ke ab kahan jaun?
Hazrat Salman Farsi Ghamoriya Me
Isne kaha ke Ghamoriya me aik shakhs ke pass jao. Mai waha gaya aur usi tarah uske sath raha. Aur waha kuch paise kamai, jis me se mai ne kuch gaaye aur bakriya paali. Jab unki maut ka waqt qareeb aaya to mai ne pucha ke ab kahan jaun?
Makkah Ka Safar
usne kaha ke ab ham jaisa koi nahi hai. Akhri Nabi ki paidaish ka waqt qarib hai, jo Deen e Ibrahim ki pairvi karenge. Arab me paida honge unki hijrat ka muqam wo mulk hai jaha khajoor ki paidawar bahut hoti hai. Wo tohfa qubool karenge, sadqa nahi khayenge. unke dono kandho ke darmiyan Mohr e Nubuwat hogi, ye unki alamat hai. Agar hosake to us mulk tak pahunch jayen. unki wafat ke baad kuch tajir waha se guzre. Mai ne unse kaha ke agar aap mujhe apne sath arab le jayen to badle me ye gaaye aur bakriya aap ki hai. Unhone qubool kya aur mujhe Makkah le aaye. Maine ne unhe gaaye aur bakriya di. Lekin unhone mujhe Makkah me ghulam keh kar mujh par zulm kya aur mujhe bech diya.
Muhammad (SAW) Se Mulaqat
Muhammad sallallahu alaihi wasallam Makkah se hijrat karke Madina tashreef laye. Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ki khabar sunkar mai ne jo kuch mere paas tha wo le liya. Aur pesh kiya aur kaha ke ye sadqa keliye hai. Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne use nahi khaya. Sahaba ko khane ko kaha. Mai ne dil me kaha, aik nishani sach hui hai. Dusri bar mai ne khajoor aur khana pesh kiya aur kaha ke ye tohfa hai. usme se Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne khaya. Mai ne dil me kaha ye dusri nishani bhi puri hogayi.
Aik dafa mai Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ke pass aaya aur aap ke pichhe chalne laga. Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne samajh liya aur apni Mohr e Nabuwat dikha di. Mai mohr e Nabuwat dikh kar ropada. Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya aage aao. Mai ne aage aakar sara waqia sunaya aur mai Musalman hogaya. Salman raziyallahu is waqt yahudi ke ghulam the. Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne unko kharid kar azad kardiya.
For English Click here