Hud Alaihis Salam
Aad Nuh (AS) ke pote iram ki aulad me se hai. Ye qaum junubi arab me abad thi. Aur ye Oman se Yemen tak 13 baradari me phela hua tha. Inke mulk ka darul hukumat Yemeni shaher Hazar mut tha. Inka daur Nuh (AS) ke taqreeban 400 sal baad ka hai. Hazrat Hud alaihis salam isi qaum se the. Is lehaz se wo inke qaumi aur watni bhai hai.
Qaum Aad
Aad ke log bahut mazboot aur lambe the. Is waqt duniya me is qaum jaisi mazboot aur taqatwar qaum nahi thi. Aur wo fan tameer me maher the. Wadil qura inki jagah ka naam hai. Jaha wo pahad tarash kar bahut mehfooz aur mazboot ghar banate the.
But Parasti
In logo me but parasti phail chuki thi. Rizq dene, barish lane, shifa dene aur mukhtalif taqaze aur zarurat ke liye alag alag devta banai gaye. Jiski parastish ki jati thi. Hazrat Hud alaihis salam ne inhe roka. Aur inhe is azeem jurm ki saza se daraya. Qaum ne kaha tum bewaqoof ho (Nauzubillah) jo apne dada ka rasta chod kar sari baradari se alag ho gaye ho. Aur tum jhoote ho jo tumhari baaton ko Khuda ki taraf mansub karke azaab ki dhamki ya de rahe ho.
Hud Alaihis Salam Ki Dawat Wo Tableegh
Hud alaihis salam ne farmaya ke mai bewaqoof nahi hu lekin mai Nabuwat ka wo haq ada kar raha hu jo Allah ne mujhe diya hai. Ye aap ki himaqat hai ke aap ke sachche khair khah, jis ki amanat aur diyanat pehle se hi mutmain hai. Aap bewaqoof kehkar apne aap ko nuqsan pahuncha rahe ho. Qaum Nuh ke baad duniya me aap ki hukumat qaim ki aur iski jagah aap ko abad kya.
Shayad is ehsan ki yaad dilate hue aap ne inhe khatre se agah bhi kiya ke jo hashar in par but prasti aur inkar Rasool ki wajah se hua wo tumhara na ho. Ye qaum apni jis mani taqat ki wajah se mashhur thi. Zikar karda ehsanat. Inhe aur Allah ke dusre be shumar ehsan ko yaad rakhna chahiye aur Iska shukar guzar farma bardar hona chahiye. Aisa nahi ki tum Haqiqi Rab se bagawat karne lago.
Hud (AS) Qaum Ko Samjhate Hue
Hud alaihis salam ne qaum se farmaya mujhe tumhare mal ki zarurat nahi. Mera Khaliq duniya ki tamam zarurat aur akhirat ke inamat ka kafil hai. Har Nabi ne apni qaum se ye kaha take nasihat purkhulus aur mu’asar ho. Log unki mehnat ko duniyawi lalach me muntaqil na kare. Tum bahut bewakoof ho. tum itni moti baat bhi nahi samajhte ke jo shaks bagher lalach aur khud gharzi ke, mehez hamdardi aur kher khahi ke liye tumhari bhalai ki baat karta hai. Tum isse dushman ki tarah behes karte ho. Allah Ta’ala achchi barish barsaye ga. Kyunki wo qaum kashtkari aur baghat lagane me bahut dilchaspi rakhti thi.
Chunanche Hud alaihis salam ne Iman lane ke wazeh fawaid aur barkat bayan ki. Jo unke haq me khase hosla afza the. Likha hai ke wo log 3 sal se khushk sali me mubtala the. Hud alaihis salam ne wada kiya ke agar tum Iman laoge aur Allah ki taraf ruju karoge to ye musibat dur ho jaye gi. Mali aur Khush hali me taraqi hogi. Allah ki taraf ruju karo. Aur mujrim ki tarah Iski Itaat se muh na modo.
Qaum Ki Zid
Ye unki zid thi. Wo kehte the ke tum koi wazeh dastawiz aur apni sadaqat ka subut nahi laye. Khuda jise Nabi ke mansab par faiz kare. Ise taqarrari ka satifiket aur ijazat nama dena zaruri hai. Chunanche Hadees me hai ke jis Nabi ko bheja gaya tha. Iske sath aisi wazeh nishaniyan bheji gyi thi. Jis par log yaqin kar sakte hai. Isliye yaqini taur par kaha ja sakta hai ke Hud alaihis salam ne nishaniyan paish ki hongi. Lekin wo zid karte rahe ke tum khula nishan nahi laye.
Qaum Ki Gustakhi
Qaum ne kaha, waise bhi ham sirf tumhari baato se apne mabudo ko nahi chod sakte. Na hi kabhi tumhare paigham par yaqin kar sakte hai. Ye jo tum bol rahe ho aur sab ko bewkuf keh kar apna dushman bana rahe ho. Hamara khayal hai ke hamare kisi mabud ne tumko diwana banadiya hai (Nauzubillah). Tum jo ibadat se rokte the aur bura bhala kehte the. Is gustakhi ki saza di ke ab tum diwano ki tarah baate karne lage.
Hud Alaihis Salam
Hud alaihis salam ne farmaya. Patthar ke wo bechare mojassame mujhe kya nuqsan pahucha sakte hai? Tum sab jo bahut mazboot aur taqatwar nazar aate hai. Apne devta ka lashkar akatha karke aur mujh jaise akele par achanak puri taqat se hamla karke bhi mera bal nahi hala sakte. Suno mai Allah ko gawah banata hu. aur tum sab iske gawah rahe. Ke mai tumhare jhute mabudo se bilkul bezar hu. Tum sab milkar mujhe jo bhi takleef pahuncha sakte hai pahuncha de.
Aur khub samajh lo ke mera bharosa sirf Allah par hai. Jo mera Rab hai aur wo tumhara Rab aur Hakim hai. aap galat fehmi se nahi samajh sakte. Sirf mai aur aap hi nahi balke zameen par chalne wali har choti badi cheez. Ye khalis Allah ke qabze aur tasarruf me hai. Koi bhi iske control se nahi bach sakta. aur na zalim Iski grieft se bach sakte hai. aur na hi nek log Iski hifazat me rehkar ruswa ho sakte hai.
Beshak Mera Rab insaf ke sidhe raste par hai. na zulm hai na bewaqt ajar. Apne bando ko neki aur bhalai ka sidha rasta dikhaya. Beshak is par chalna Allah ki taraf le jata hai. Aur wo khud is par chalne walo ki hifazat ke liye hamesha maujood rehta hai. Itni saaf aur sachi baate sunkar bhi yaqin na aaye to mera koi nuqsan nahi. Mai ne Tableegh ka fariza puri tarah ada kardiya hai.
Qaum Ko Allah Ke Azab Se Darana
Qaum ne kaha aap apni fikar kare. Hazrat Hud alaihis salam ne farmaya ke is qisam ki zid, tasub aur hat dharmi par aasman se azab aaye ga jo tumhe tabah kar dega. Allah ki zameen tumhari tabahi se tabah nahi hogi. Wo dusre logo ko tumhare mal waghera ka waris banaye ga. Yaad rakho ke tumhe khatam karne se Allah aur uske Rasoolo ka koi nuqsan nahi hota aur na hi uske mulk ko nuqsan hota hai. Allah ne tasalli di ke Nuh aur unke sathiyo ka anjam achcha hua. Aap ke sathiyo ka anjam bhi bahut roshan aur kamyab hai.
Qaum Aad Ne Kaha
Ham apne aabai tariqo se hatne wale nahi hai. Agar tum apni dhamkiyo me sache ho to jo kehte ho ise karke dikha do. Aisa mutalba karna aap ki jahalat hai. Mai Allah ka Rasool hu, jo mujhe diya gaya hai wo pahuncha ne wala hu. Mai isse zyada nahi janta. Allah hi janta hai ki aik kafir qaum kab duniyawi azab ka shikar hoti hai aur kitni mohlat deni chahiye.
Allah Ta’ala Ka Azab
7 raatein aur 8 din tak, hawa ka wo shadid tufan barpa Raha. Jinke samne darkhtu, insano, janwaro ki haqiqat tinke se zyada na thi. Hawa se sab kuch ukhad gaya aur har taraf tabahi phel gayi. Makanat gir gaye, chate ud gayi, darakht jad se ukhad gaye aur kahi gir gaye. Hawa itni zehrili thi ke admiyo ki nak me dakhil ho kar in ke jism ko cheerti thi. Allah Ta’ala ne Hazrat Hud alaihis salam aur unke sathiyo ko, jin ki tedad akhar kar 4000 thi, ko is holnak azab se mehfooz rakha. Qaum aad ki maut ke baad Hazrat Hud alaihis salam Momineen ke sath yemen ke shaher “hadar mut” tashreef le gaye. Aur yahi 50 sal Dawat o Tableegh ka fariza ada karne ke baad 464 sal ki umar me inteqal kargaye.