Muhammad (SAW) Ki Paidaish
For English click here
Muhammad (SAW) Ki Paidaish Se Pehle
Cheti sadi eswi me ye duniya inteha tareek dor se guzar rahi thi. Wo Allah ko bilkul bhul chuke the. But paraste aam ho chuki thi. Insaniyat ka naam wo nishan bhi mitaya jaraha tha. Puri qaum sareeh gum rahi me bhatak rahi thi. Taqat war kam zoro par hukumat karrahe the.
Khayali tasveer o, darakh to, phat taro aur janwaro ki pratish ki jati thi. Ladki ko zinda dafan karna, qa file ko lutna, be gunaho ko marna in ka mashghla ban chuka tha. Jab duniya ke halaat din ba din kharab hote jarahe the. To Allah Ta’ala ne apne bando ko sidha rasta dikhane ke liye Aakhri Nabi bhejne ka faisla kiya.
Muhammad (SAW) ki Wiladat
Makkah me abraha ka mashhur waqiya pachas din baad. 12/ Rabi Al- Awwal peer ki subah Sadiq ke waqt Tulu aftab se pehle. Muhammad sallallahu alaihi wasallam apni tamam khubiyo ke sath is duniya me tashreef laye. Duniya ki tariki roshni me badal gayi. Bhatakti hui insaniyat ko aik behtreen rehnuma mila.
Kaha jata hai ke subah Muhammad sallallahu alaihi wasallam ki wiladat hui. Isi raat kisra ke mahel me zalzala aaya. Aur is ke mahel ke 14 kone gir gaye. Kisra Iran ke badsha ka laqab tha. Naher sawah sukh gyi. Ye Iran me aik naher ka naam hai.
Irani aag ke parastar the. Yane aag ki puja karte the. Waha aik khandaq banai gyi thi. Jis me 1000 sal tak aag jalti rahi aur kabhi bujhayi na gyi. Jis raat Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam duniya me tashreef laye. Aap ki barkat se ye aag hamesha ke liye bujh gyi.
Rasoolullah (SAW) Ka Ism-e-Girami
Aap ki Walda ne Aap ka naam Ahmed sallallahu alaihi wasallam rakha. Jab Aap ke Dada ne Aap ke bare me suna. Chuna nche wo badi khushi ke aalam me Amina ke ghar pahunche. Aur apne pote ko gud me lekar Haram pahunch gaye. Khana Kaaba me dakhil hue aur Allah ka shukr ada kiya. Aur sat we din aqiqa karke Muhammad naam tajwiz kiya.
Muhammad (SAW) ki Walida
Amina Quraysh khandan ki aik sharif aur khush akhlaq Khatoon thi. In ka silsila nasab Muhammad (SAW) ke par dada “Fahar” se jamilta hai. Fahar ka laqab Quraysh tha. Isi liye Aap sallallahu alaihi wasallam ko Qureshi kaha jata hai. Amina bhi Qureshi thi.
Muhammad (SAW) Ke Walid
Aap sallallahu alaihi wasallam ke walid Abdullah Aap sallallahu alaihi wasallam ke dada Abdul Muttalib ke sab se chute bete the. Muhammad sallallahu alaihi wasallam ke walid Abdullah ko maashere me bahut muaziz aur naik samjha jata tha.
Abdul Muttalib ne apne bete ko tijarti safar par bheja. Wapisi par Madinah pahunch kar bimar pad gye. Aur Muhammad sallallahu alaihi wasallam ki paidaish se pehle hi in ka inteqal ho gaya. Aap ke dada Abdul Muttalib ahle Makkah ke sardar the.
Shaq Sadar ka Waqiya
Aik dafa Muhammad sallallahu alaihi wasallam baccho ke sath khelne me masroof the. Ke achanak safed kapdo me malbus 2 fareshte aaye. Unho ne Aap ko lita kar Aap ka sina chak kya aur dil nikala. Phir ise Zamzam ke pani se dhokar is ki jagah rakh diya. Aur sina barabar kar diya.
Amina Ka Inteqal
Jab Muhammad sallallahu alaihi wasallam ki umar 6 sal thi to Amina Aap Sallallahu alaihi wasallam ko Madina le gayi. Jise us zamane me Yasrab kaha jata tha.Kuch din apne ghar rehne ke baad wapis arahi thi.
Chunanche Madinah aur Makkah ke darmiyan muqam “Abwa” pahunch kar safar ke doran bimar ho gayi aur wahi inteqal kargayi.Umm Ayman Muhammad sallallahu alaihi wasallam ke sath Makkah pohchi aur Aap Sallallahu alaihi wasallam ko dada Abdul Muttalib ke pass bhej diya.
Dada Ka Inteqal
Phir jab Muhammad sallallahu alaihi wasallam 8 sal ke the. To dada ka saya bhi sar se uth gaya.Wafat ke waqt Abdul Muttalib ne Muhammad sallallahu alaihi wasallam ko Abu Talib ke hawale kiya aur Aap ke liye khususi wasiyat ki. Ke wo Aap ka khas khayal rakhe.Apne Dada ke baad Aap sallallahu alaihi wasallam apne chacha Abu Talib ke sath rehne Lage.
Taleem Aur Tarbiyat
Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne farmaya. Ke meri tarbiyat mere Rab ne farmayi hai. Aur mere Rab ne mujhe taleem di hai. Aur mujhe bahut achhi tarbiyat aur bahut aala taleem di hai. Makkah Mukarrama me shadi biyah me gaane bajane ka riwaj tha. Muhammad sallallahu alaihi wasallam bhi is me shirkat karna chahte the ke kya hota hai.
Laikin jab ye program shuru hua to Aap sallallahu alaihi wasallam is qadar soye hue the ke Aap ko kuch malum na tha. Jab Aap sallallahu alaihi wasallam bedar hue to jamat khatam ho chuki thi aur subah ho chuki thi. Ye sab Allah Ta’ala ki tarbiyat ki barkat thi.
Pehla Safar Aur Buheera ki Mulaqat
Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne bhi israr kiya aur is safar me in ke sath shamil hue. Jab Abu Talib ka qafila Hijaz se guzar kar mulk Sham me dakhil hua. Jab Muhammad sallallahu alaihi wasallam ki umar 12 13 sal thi. Chunanche Abu Talib tijarat ke silsile me sham ke safar ki tayari karrahe the.
Chunanche qafile ne hasb mamool aik jagah aik darakht ke niche padao dala. Is jagah ke qareeb aik Esayi alim ki ibadat gah thi. Is ne kabhi kisi ke aane jane par tawajeh nahi di.Laikin is din is ne dekha ke qafila utarne ke baad darakht ki shakhe jhuk gayi.
Aur badal ka aik tukda suraj aur Muhammad sallallahu alaihi wasallam ke darmiyan hai aur suraj ko Muhammad sallallahu alaihi wasallam se rok raha hai. Is tarah Yahudi aur Esayi ulama akhri zamane ke Nabi ki fitrat aur Aap ke zahoor ki tamam alamat se waqif the. Jaisa ke aik bap apne bache ko janta hai.
Qafile ki Dawat
In halat ko dekh kar Esayi alim ki tawajeh Muhammad sallallahu alaihi wasallam ki taraf ho gayi. Is ne apne nokar se kaha ke jaldi se khane pine ka bandobast karde, aur qafile ko bulaya.Ye log bahut heran hue kyunke aisa pehle kabhi nahi hua tha. Taham, in logo ne dawat qubool karli.
Aur jab wo raheb ke ghar jane lage to unho ne Muhammad sallallahu alaihi wasallam ko in ki kam umri ki wajah se apne sath le jana munasib na samajha aur Aap ko saman ke sath wahi chod diya. Jab sab log jama ho gaye to raheb ne aik nazar in par dali. Is ne in logo me wo khas alamat nahi dekhi jo us jagah dekhi gayi thi. To pucha ke koi admi baqi nahi raha?
Unhone kaha hamare sath aik chota bacha tha, ham ise wahi chod aaye hai, baqi sab yaha hai. Raheb ne kaha: ke bacha bhi dawat me sharik ho. To Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne bhi shirkat ki. Jab Muhammad Sallallahu alaihi wasallam tashreef laye.
Chunanche is Esayi alim ne bar bar Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ko dekha, qareeb se dekha, inki ankhon me ghor kiya, inki pusht par “Mohre Nabuwat” ko dekha.
Raheb ke Sawalat
Khane ke baad isne mazid itmenan ke liye Muhammad sallallahu alaihi wasallam se kaha. Mai tum se kuch puchunga. Mujhe sahih jawab do. Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne farmaya. Jo chaho pucho isne Aap ke khane, sone aur jagne ki aadat ke bare me kuch sawalat puche. Aap Sallallahu alaihi wasallam ne in sab ka jawab diya.
To ise yaqin hogaya ke Aap Allah ke akhri Nabi hai. Jis ki itla har Nabi ne di hai. Aur Ulama sadiyo se intezar karrahe hai. Iske baad isne Abu Talib se pucha. Ye bacha kiska hai?
Unhone kaha mera beta hai. Raheb ne kaha ye ghalat hai. Kiyuke mere ilm ke mutabiq iske walid iski paidaish se pehle fot ho chuke honge. Phir abu talib ne kaha ha ye mera bhatija hai. Aur iske walid ka inteqal ho gaya hai. Isne inse kaha ke wo inhe aage na le jaye.
Abu Talib ne raheb ki baat ki roshni me ise munasib samjha. Ke Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ko safar par na le jaya jaye. Chunanche Muhammad sallallahu alaihi wasallam ko raste me kisi ke sath Makkah wapas bhej diya gaya.
Sadiq Aur Amin
Jab Muhammad sallallahu alaihi wasallam ki umar 14 15 sal thi. Chunanche aam logo se lain dain aur mail jol ahista ahista hone laga. Log Aap sallallahu alaihi wasallam ki taraf dekhte the aur Aap ki aadat wo atwar ki khas shan dekhte the.
Ehle Makkah sachchayi, muamilat ki safai, diyanat, narmi, yatimo se shafaqat, padosiyo ka ehteram aur insani hamdardi ki sifat se bahut mutasir the. Wo Aap ko Muhammad kehne ke bajaye Aap ko sadiq aur amin ke laqbo se yaad karte the, yane sachcha aur achcha.
Nastoura Raheb
Satra sal ki umar me Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne Abu Talib ki ijazat se karobar shuru kiya. Safar ke douran jab Rasoolull sallallahu alaihi wasallam mulk sham ke shaher basra me pahunche to aaram keliye aik sayedar darakht ke niche baith gaye. Waha aik raheb “Nastoura” rehta tha.
Wo Rasoolull sallallahu alaihi wasallam ki khidmat me hazir hua. Aur farmaya ke Essa bin Maryam se lekar aaj tak is darakht ke niche Aap ke siwa koi Nabi nahi utra. Kyunke is darakht ke niche Anbiya ke alawa koi nahi rehta.
Phir isne Muhammad sallallahu alaihi wasallam ko bahut qareeb se dekha. Aap sallallahu alaihi wasallam ki ankhon ki surkhi dekhkar farmaya ke ye wohi Nabi hai, ye akhri Nabi hai.
Ghar Hira
Jaise Ba’sat ka zamana qareeb araha tha. Tanhai Muhammad sallallahu alaihi wasallam ki sahet par ziyada se ziyada ghalib hoti jarahi thi. Aik ajib si becheni thi jo door nahi horhi thi. In dino me Muhammad sallallahu alaihi wasallam ache khab dekhte the. Aur jo khab me dekhte the wohi bedari me paate the.
Ye muddat Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne Jabal Noor ke ghar me guzari. Is ghar se Kaaba ko bilkul samne dekha jasakta tha. Waha Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam Allah ke zikar aur is ki Ibadat me mashghul rehte the. Ye amal 3 sal tak jari raha.