Nabi Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam
Is Dawat oTableegh ke silsile me Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne aik aur koshish ki. Kuch rishtedaro ke liye dawat ka intezam kiya. Jis me Aap sallallahu alaihi wasallam ke chachao ke alawa khandan ke 40 aadmiyon ne shirkat ki. Khane ke baad Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne inhe Islam ki dawat dena chahi.
To Abu lahab in sab ko le gaya aur inhe Muhammad sallallahu alaihi wasallam ki baat sunne se rok diya. Dusre din Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne phir dawat di. Aur khane ke sath mukhtasar magar jame andaz me Dawat e slam pesh ki. Aur pucha kon manne ko tayar hai?
Lekin kisi ne qubool nahi kiya. Hazrat Ali (RZA) is waqt bacche the. Lekin ye manzar dekh kar kisi ne jawab na diya. Khade hue aur saaf saaf kaha ke agar che mai sab se chota aur kamzor hu. Lekin mai is mazhab ko qubool karta hu aur Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ki himayat ka wada karta hu.
Aap (SAW) Ki Dawat Ka Asar Awam Par
Rishtedaro ka radde amal is tarah samne aaya ke in me se koi bhi manne ko tayar na tha. Lekin Makkah ke aam log jo Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ki dawat se mutashir hokar Islam qubool kar chuke the. Wo pehle hi Aap ke akhlaq se muntasir the.
Rishtedaro aur sardaro ki mukhalifat se be parwah hokar Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne Makkah ki galiyo se bazaar o tak elaan karna shuru kar diya log La ilaha illa Allah padhe aap kamyab honge.
Chuna nche in ke dil Aap ki taraf mail hone lage. Aur rafta rafta Musalmano ki tadad badhne lagi. Aur acchi khasi tadad Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ke atraf jama ho gayi. Agar che In me se ziyada tar kamzor log the, lekin qabil eate mad aur ba asar logo ki bhi acchi khasi tadad thi.
Abu Lahab
Abu lahab jis ka naam Abduluzza bin Abdul Muttalib hai. Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ke haqiqi chacha the. Lekin apne kufr ki wajah se wo Rasoolullah Sallallahu alaihi wasallam ka sakht tareen dushman tha.
Jab Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam kisi bhi ijtema me Islam ka paigham dete the. Abu lahab Aap par patthar marta tha yaha tak ke Aap sallallahu alaihi wasallam ke paun se khoon behne lagta tha. Wo kehte the ke Muhammad ham se in cheezo ka wada karte hai jo hame marne ke baad milegi, lekin ham ye hote hue nahi dekhte.
Aik dafa Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne Safa Pahad par chadh kar sab ko pukara. Aap ki awaz par sab jama ho gaye. Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne Islam ki dawat nihayat hi pyar bhare andaz me di. Abu lahab bhi wahi tha, is ne kaha tum barbad ho, isi liye tum ne hame jama kiya. Is ne Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam par phenkne ke liye patthar uthaya.
Abu Lahab Ki Maut
lihaza is ki tahzeeb aur haq se dushmani inteha ko pahunch chuki thi. Jab ise Allah Ta’ala ki taraf se azaab ki dhamki di jati thi. To wo kehta tha ke agar waqi aisa hone wala hai to mere pas bahut maal wo aulad hai. To wo sab fidiya dekar azab se azad ho jayenge.
Nabi ki qurbat bhi use tabahi se na bacha saki. Kaha jata hai ke Jange Badar ke 7 din baad is par zahreele dane nikle aur is ke ghar walo ne ise bimari ke khauf se dur rakha. Wo wahi mar gaya aur 3 din tak lash isi tarah padi rahi, kisi ne na uthaya. Jab lash sadne lagi to habshi mazduro ne ise lakdiyo se gadhe me utar kar phattaro se bhar diya.
Umme Jameel
Abu lahab ki biwi Umme jameel bhi Rasulullah sallallahu alaihi wasallam ke sakht khilaf thi. Umme jameel ameer hone ke bawajood apni inteha kanjusi ki wajah se khud jungle se lakdiya chunti thi. Aur wo Rasulullah sallallahu alaihi wasallam ke raste me kante dalti thi. Take Aap sallallahu alaihi wasallam aur aane jane walo ko takleef ho.
Likha hai ke is aurat ke galle me aik qimti haar tha. Wo kehti thi ke laat aur azza ki qasam mai ise Muhammad ki dushmani par kharch karungi. Is ki maut bhi isi tarah hui, lakdi ka bojh uthane keliye rassi ki zarurat hoti hai lakdi ke bandal ki rassi galle me phans gayi jis se iski maut ho gayi.