Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Par Pehli Wahi
Pehli Wahi
Jab Nabi sallallahu alaihi wasallam ki umar 40 saal thi. Aik din Aap ne isi ghaar Hira me 1 Farishta dekha. Jis ke hath me reshmi kapda tha wo Jibriel Alaihis salam the.Jo us kapde par likhi hui ibarat Nabi sallallahu Alaihi Wasallam ko dikha rahe the.
Aur kah rahe the ke padho. Nabi sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: Mai padhna nahi janta.Phir Jibrael ne Surah Iqra ki ibtedai ayaat ki tilawat ki.
Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Par Nabuwat ki Zimmedari
Is azeem zimmedari aur is ki ahmiyat ko samajhte hue Nabi (SAW)ghabrahat me ghar gaye. Khadija (RZA) ne is pareshani ki wajah puchi. Chuna nche Nabi sallallahu alaihi wasallam ne sara waqia bayan farmaya.
Khadija (Raziyallahu anha) ne Aap ko tasalli di. Aur kaha ke tumhe acchi khabar hai. Daro nahi, Allah ki qasam Allah tumhe kabhi ruswa nahi karega. Aap sach bolte hai, logo ka bojh uthate hai. Aur mehman nawazi karte hai. Allah Aap ko mayoos nahi karega.
Warqa Bin Naufal ke Paas
Khadija (RZA) ne Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ko tasalli di. Lekin wo bhi is surat e hal se pareshan thi. Inke chacha zaad bhai warqa bin naufal ne shirk tark kar ke Essaiyat ko qubool kiya, jo us waqt ka haqiqi mazhab tha. Aur us mazhab ka ilm hasil kiya.
Khadija (RZA) Aap sallallahu alaihi wasallam ko Warqa bin naufal ke pas le gayi. Warqa bin naufal ne Aap sallallahu alaihi wasallam se waqia ki puri tafseel suni. Phir farmaya ke, jo aaya hai wo Allah ka farishta hai. Jo sirf Anbiya Alaihi Salam ke pas aate hai. Is se maloom hua ke Aap Allah ke Nabi hai.Aap ko Nabuwat mubarak ho.
Jab qaum tumhe be watan karde gi. Agar mai us waqt tak madad karne ke qabil hota to mai madad karta. Ye sun kar Nabi Sallallahu alaihi wasallam ne hairat se pucha ke Kiya Meri qaum Mujhe be watan karde gi?Unho ne kaha ke han jab koi Aap jaisa paigham lekar aata hai to qaum uski mukhalifat karne lagti hai.
Warqa bin naufal pehle mushrikin me se the. Lekin wo shirk aur butparasti se bezar the. Isiliye apna aabai mazhab chod kar Esaiyat ikhtiyar ki. Jo us waqt akhri asmani mazhab tha. Hadees me hai ke Nabi Sallallahu alaihi wasallam ne Aapko Jannat me safed kapdo me mal boos dekha.
Yahudi Aur Essayi Sab kuch Jante The
Allah ke hukm se Adam alaihis salam se le kar Essa alaihis salam tak tamam Anbiya Muhammad sallallahu alaihi wasallam ke mission ki khabre dete rahe. Aur ju ju Ba’sath ka dour qarib araha tha.Is waqt ke Ulama aur akhbar nawe su ki guftagu me Muhammad sallallahu alaihi wasallam ka zikar kisi na kisi tariqe se ho ta tha.
Khas tor par Yahud wo Nasara logo ke samne Nabi ki wiladat, shakal wo surat aur tashbiya, Nabuwat, hijrat aur zindagi ka bahut tafsil se zikar kya karte the. Aakhir al zikr ye log Muhammad Sallallahu alaihi wasallam ke zuhoor ka be cheni se intezar karne lage the.
Lekin jab Muhammad sallallahu alaihi wasallam ka zuhoor hua. Aur wo bhi in tamam nishaniyo aur aayat ke sath jo wo jante aur bayan karte the. To in me se aksar Aap par yaqin karne me sharam mehsoos karne lage.
Aik Yahudi Ka Qissa
Aik Yahudi Makkah me tijarat ke liye rehta tha. Jis raat Muhammad sallallahu alaihi wasallam ki Wiladat hui, Yahudi ne Quresh se pucha ke kiya aaj ki raat ladka paida hua hai? In logo ne la ilmi ka izhar kiya. To is ne kaha ke the qeeq kar ke batao! kyun ke aaj raat is quam me Nabi ki wiladat hogi.
Jab Muhammad sallallahu alaihi wasallam ki wiladat ki khabar mili to Aap sallallahu alaihi wasallam aur Aap ki Mohr-e-Nabuwat ko dekhne gaye. And farmaya ke ab Nabuwat Bani Israel se jaye gi. Aur Quraish se kaha ke ye baccha pure ilaqe par ghul ba hasil karega.
Quran kareem me Allah Ta’ala ne Isa Alaihis salam ka irshad naqal farmaya hai. Ke unhone Bani Israel se kaha tha ke mujhe Allah Ta’ala ne tumhari taraf bheja hai. Mai Torat ki pichhli kitaab ka tasdiq karne wala aur aik khas Rasool ka mubashar hu. Jo mere baad ayenge. Aur inka naam Ahmed hai.
Essayi Ulama ki Tasdeeq
Isi tarah Addas, Warqa bin Naufal, Bahira, Nestora ye log Essayi Ulama hai. Jis ne Aap ko dekh kar wade kar diya ke Aap Nabi Akhiri waqt ke Nabi hai.
Isi tarah jab Halima Raziyallahu anha Pehli bar Aap ke sath Makkah arahi thi. Chuna cha habshe ke kuch Esayi raste me mile. Jinhone Aap ko dekha aur apni gud me liya, Aap ko chuma. Aur kaha ke wo log Aap ke bare me bahut kuch jante hai. Aur ye ke Aap bahut izzatdar admi hai.
Khandan Aur Doston Ko Tableegh
Nabuwat milne ke foran baad Nabi sallallahu alaihi wasallam ne Towhid ki dawat shuru kardi. Nabi sallallahu alaihi wasallam ki Dawat par mardo me Abubakar (RZA), aurato me Khadija (RZA), baccho me Ali (RZA), gulamo me Zaid bin Sabit (RZA) aur bandi yo me Umm Ayman (RZA) Musalman hui.
Musalman hone ke baad Abubakar raziyallahu anhu ne apne dosto me Dawat wo Tableegh ki. In ki koshisho se chand aur logo ne Islam qubool kiya. In dino Musalmano ne apna Islam chupa rakha tha. Kisi par zahir nahi kiya.
Nabi sallallahu alaihi wasallam aur wo log jo Musalman ho chuke the. Wo wadiyo me ya jaha bhi moqa milta khamushi se Namaz ada karte the. Is waqt ki Shariat Ibrahimi ke mutabiq. Subah wo sham ki Namaze hoti thi.
Darul Arqam
Phir Nabi Sallallahu alaihi wasallam ne socha ke apne perokaro ko jama karne aur milne keliye koi khas jagah honi chahiye. Is ke liye Arqam raziyallahu anhu ke ghar ko markaz banaya.
Sahaba Karaam ki koshisho se jo log Musalman hona chahte the wo Darul arqam me aate. Aap sallallahu alaihi wasallam inhe Islam se mu tarif Karate the. Islam ke is pehle markaz me Makkah Mukarrama ki chand ahem tareen shaksiyat ne Islam qubool kiya.
Ushman bin Affan (RZA), Hamza (RZA), Umar (RZA), Zubair bin Awam (RZA), Arqam bin Arqam (RZA), Khabab (RZA), Abdullah bin Masoud (RZA), Ammar (RZA), Saad bin Abi Waqqas (RZA) waghera jese log. Islam ke is markaz se mustafid hue.
Is waqt tak jo log Musalman ho chuke the. Aur jo Islam ko samajhna chahte the. Ye sab yaha Nabi sallallahu alaihi wasallam se milne aate the. Arqam (RZA) ka ye ghar Safa pahad ke qarib waqe tha. Phir jab Umar raziyallahu anhu Imaan laye. Muhammad sallallahu alaihi wasallam aur Aapke Sahaba (RZA) jaha chahte jama ho jate the.
Khuli Tableegh Aur Dawat
Dawat Tawheed aur Imaan ka ye silsila 3 sal tak khamoshi aur khafya tariqe se jari raha. 3 sal ke baad Allah Ta’ala ne Muhammad Sallallahu alaihi wasallam ko hukm diya gaya tha.
Is hukm ki ta’meel ke liye Nabi sallallahu alaihi wasallam aik din Safa pahad par chadh gaye. Aur Quraish ke logo ko naam se pukar te the. Jab sab jama ho gaye.
To Aap sallallahu alaihi wasallam ne in logo se Aap ki sachchai ki tasdiq farmai. Jab in logo ne eteraf kiya ke Aap kabhi jhut nahi bolte. Is par Nabi Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya.
Ke mai Allah ka Rasool hu. Agar tum meri tasdiq na karoge to mai tumhe Allah ke azaab se darata hu. Ye sunkar Aap ke chacha abu lahab ko bahut ghussa aaya. Aur Nabi sallallahu alaihi wasallam ke sath sakhti se baat ki. Is ke jawab me Surah Lahab nazil hui.