Nuh Alaihis Salam
Nuh Alaihis salam ki qaum ke sardar aur ameer logo ne sab se kaha ke in ki baat na suno. Apne maboodo ki himayat me sabit qadam raho. Aur Nuh ki baato me na aao. Allah Ta’ala ne insan me khair o shar dono ki quwate rakhi hai. Aur use dono ko samajhne aur un par amal karne ki taqat di hai.
Tamam Anbiya Ulul-azm (himmat wale) hai. Aur 5 Anbiya ko khas tour par Ulul-azm kaha jata hai. Hazrat Nuh alaihis salam, Hazrat Ibrahim alaihis salam, Hazrat Musa alaihis salam, Hazrat Essa alaihis salam aur Hazrat Muhammed Sallallahu alaihi wasallam.
Shari ahkamat ka silsila Hazrat Nuh Alaihissalam se shuru hua. Akhri Nabi Muhammed Sallallahu alaihi wasallam hai. Jin par Nabuwat wa risalat ka silsila khatam hua. Hazrat Nuh Alaihissalam 950 saal tak apni qaum ko samjhate rahe.
Hazrat Nuh Alaihis Salam Ki Amad
Kaha jata hai ke Hazrat Adam Alaihis salam ke baad 10 sadiya is tarah guz ri ke Adam Alaihissalam ki tamam aulad e Kalimah Tauheed par qaim thi. But parasti ki asal ye thi ke kuch nek logo ka inteqal hogaya. Jin ke naam: Wad, Sawa, Yaghus, Yauq, aur Nasr the.
Logo ne un ke Aamal aur Ibadat ko yaad rakhne keliye un ki tasveer e banali. Kuch arsa guzarne ke baad unho ne un tasveer o ke mutabik but banaye. Hatta ke kuch dino ke baad un ki pratish shuru ho gayi. Aur un buto ka naam un Buzurgo ke naam par rakha gaya.
Chunan che Allah Ta’ala ne Hazrat Nuh Alaihis salam ko bheja. Aur Aap ne apni qaum ko Tauheed aur Taqwa ki taraf bulaya. Aur khabardar kiya ke agar wo but parasti se baaz na aaye to sakht azaab ka andesha hai. Lekin logo ne un ki baat na suni.
Nuh Alaihis Salam Qaum Ko Samjhate Hue
Nuh Alaihis salam ne apni qaum se kaha ke senk do saal ke samjhane ke bawajood agar tum meri baat suno. Aur apne Rab ke samne Sajda rez ho jau. Aur us se apne gunaho ki maafi mango. To wo bahut maaf karne wala hai aur pichle tamam gunaho ko baksh dega.
Imaan aur Istighfar ki barkat se qahat aur khushk sali se najat milegi aur Allah barish ke badal bheje ga. Jo kheto aur bagh o ko khub serab karenge. Aur Akhirat ke saath duniya ki niama to me se bahut zyada hissa milega.Aur badhi waza hat ke saath wo baate batata hu jin ki nafarmani par sakht azaab ka andesha hai.
Nuh Alaihis Salam Ke Khilaf Aulad Ko Wasiyat
Nuh alaihis salam ki qaum ke sardar aur ameer logo ne sab se kaha ke in ki baat na suno. Apne maboodo ki himayat me sabit qadam raho. Aur Nuh ki baato me na aao. Aur har tarah se Nuh Alaihis salam ko takleef pocha ne ki koshish ki.
Kaha jata hai ke senk do saal tak har aik ne apni aulad aur aulad ke baad aulad ko wasiyat ki. Ke koi is Nuh ke bahkawe me na aaye aur apna abayi mazhab na chodhe.
But Parasti
Pehle zamane me kuch aise buzurg the jin ki wafat ke baad shaitan ne logo ko behka ya ke un Buzurgo ki tasveere yadgar ke taur par khadhi kare. Phir un ki tazeem ki jane lagi aur aahista aahista un ki pratish shuru ho gayi.
Qaum ne un sardaro aur ameero ki itat ki jin ki daulat, aulad me koi khubi ya bhtari nahi thi. Lekin wo toot gaye un ki wajah se in ka deen khatam hua. Aur unho ne apni sarka shi aur zulum se dusro ko mehroom kar diya.
Qaum Ki Taqreer
Qaum ne Nuh Alaihissalam se kaha ke Rasool ko tamam logo ke muqable me kuch khas imtiyaz hona chahiye. Lekin ham dekhte hai ke Aap hamari tarah nasal insani se hai. Na ke Asman ke Farishte jin ke samne insano ki gardane jhuk jaye. Insan bhi aise nahi ke ham par koi khas fazilat aur badayi ho.
Maslan tum ameer ho ya taqat wa hukumat ke malik ho. Mashallah Aap ke piche aane wale sab muflis aur adna tabqe ke log hai. Jin ke saath ham jaise shareef logo ka baithna bhi sharam ki baat hai. Tamam Makhluqat me sirf Aap hi the jinhe Khuda ne safeer ke mansab par faiz kiya. Akhir ham maal-o-daulat aur kirdar ke lihaz se Aap se kam the ke hame is ohde keliye munta qib nahi kiya gaya.
Kam uz kam Aap ke pero kar to muziz aur bade admi hote. Ye chote logo ki ita’at Aap ke liye kya fazal aur izzat ho sakti. Aur ye sachayi ki daleel kaise ho sakti hai. Aise log jin ki kamzori bilkul wazeh hai, baghair soche samjhe yaqeen kar lene me kya kamal hai?
Balke ham mante hai ke Aap aur Aap ke saathi sab jhute hai. Aap ne aik baat kahi aur kuch bewakuf o ne aik nayi tehreek shuru karne aur izzat wo waqar hasil karne ke liye ha kaha.
Nuh Alaihis Salam Ka Jawab
Hazrat Nuh Alaihissalam ne jawab diya ke sahi hai ke Nabi ko aam logo se mumtaz kiya jaye. Lekin ye imtiyaz duniya wi maal-o-daulat aur mulk wa hukumat me nahi hai. Balke aala akhlaq, behtareen ausaf, parhez gari, imandari aur hamdardi me hai.
Aur in wazeh ayat aur nishani you ke pesh karne se wo imtiyaz hasil hota hai. Jin ko Allah Ta’ala un me jaga deta hai, ya unke zariye zahir karta hai. Wo Wahi-E-ILaahi aur Hidayat-E-ILaahi ki roshni me saaf raste par chalte hai. Aur Allah ki khas rahmat e unpar din raat barish ki tarah barasti hai.
Hazrat Nuh alaihis salam ne farmaya ke agar ye sab cheeze mujh me khullam khulla maujood hai aur haqiqat me hai. Lekin jis tarah aik andha Suraj ki roshni nahi dekh sakta isi tarah tumhari ankhe bhi is Noor ko nahi dekh rahi hai.
To kiya ham aap se zabardasti is Noor aur Rahmat ka iqrar karwa sakte hai. Jis se Aap is qadar bezar hai ke aap ise dekhne keliye ankhe kholne ki zah mat bhi nahi karte?
Nabi Ki Ahmiyat
Khulasa ye hai ke meri azmat aur Fazilat jo aap ko nazar nahi aati is ki wajah ye hai ke aap ke dil ki ankhe andhi hai ya band hai. Mai tum se tableegh ke kaam ki koi tankha nahi mangta jis se maali khud ghar zi ka shuba ho. Mai apne Rab ka naukar hu usi se mujhe ujrat milegi.
Alhamdulillah Mujhe aap ki daulat ki zarurat nahi to mai miski no ko chod kar ameero ki taraf kyu jhuk un. Agar tum mere pero karo ko mahaz tangi ya peshe ki wajah se haqeer samajhte ho to acchi tarah samajh lo ke mai Momino ko un ki zahiri halat ki wajah se nikalne wala nahi hu.
Un ko aik din apne Rab se milna hai. Wo Allah se shikayat karenge ke Aap ke Nabi ne ham Momino ko duniya walo ki khatir nikal diya tha. Mai kyu socho ke un ka Imaan sirf zahir hai. Dilo ko dekhna mera kaam nahi, Allah hi janta hai ke un ke dilo ka kya hal hai.
Jhalat ki wajah se aap anjam ko nahi dekhte aap sirf un ki halat ki wajah se un ko haqeer samajhte hai. Aur fu zul il teja karte hai ke unhe hata diya jaye phir ham aap ke pas ayenge.
Nuh Alaihis Salam Ne Qaum Se Kaha
Nuh Alaihis salam ne qaum se kaha ke Mai tumhare ghurur aur jhalat se muta sir hokar Apna nuksan kaise kar sakta hu. Agar tumhari riayat se Allah ke Mukhlis Bando ko nikal du to Allah ki pakad aur azaab se kon bachayega.
Qaum ne Hazrat Nuh Alaihissalam se kaha ke tum hamari tarah insan ho aur maal me barabar nahi ho. Nuh Alaihis salam badhi diyan at aur insaf ke saath us ka jawab dete hai ke yaqi nan ham is imtiyaz ka dawa nahi karte jo tum dekhna chahte ho.
Bilashuba Mai aik insan hu Farishta nahi. Allah ne Apna sara Khazana Mere qabze me nahi rakha. Aur na hi Mujhe ghaib ki tamam cheezo se agah kiya gaya hai.
Lekin in sab baato ke ai taraf ke saath Mai tumhari tarah kabhi ye nahi kahunga ke Allah Ta’ala in logo ko kabhi bhalayi nahi de sakta jo tumhari nazro me haqeer ho. (Yani Mai aur Mere Saathi) Allah Inhe kabhi koi bhalayi nahi de sakta. Maslan in me se kisi aik ko Nabuwat aur Hikmat Ata farma aur Baqi ko Imaan aur ILm ki daulat se nawaze.
Qaum Ko Nasihat
Acchi tarah samjho Allah Ta’ala in ke dilo ki salahiyato aur halat ko janta hai. Har aik par us ki salahiyat ke mutabik Fazl Karta hai. Aur andruni halat wa waqiat ke mutabik barta u karta hai. Allah ne Mujh par ya Mere Saathi par jo khas ehsaan kiya hai, wo tumhari nazro se poshida hai.
Hazrat Nuh Alaihis salam din raat un ko nasihat karte rahe. Aur har shuba ka jawab dete rahe aur is behas me sadiya guzar gayin. Log un ki haqqani beheso aur raat din ki rukawat to se ajiz ho gaye. Aur kaha ke ab ye silsila band karo. Agar tum sacche ho to jis saza ki dhamkiyan derahe ho. Fauran le aao taake ye roz ka jhagda khatam hojaye.
Nuh Alaihis Salam Ki Dua
Jab Nuh Alaihis salam ke paas ummed ki koi jhalak baqi na rahi to Wo mayus aur gham gin hue. Aur Barga he ILahi me arz kiya ke. Aye Rab Mai ne Apni taraf se bulane aur Tableegh karne me aik lamha bhi nahi choda. Mai raat ke andhere aur din ke ujale me inhe Aap ke paas bulata raha. Lekin natija ye hua ke jitna inhe Aap ke paas aane ka kaha jata wo utna hi munh pher lete.
Aur jitni meherbani aur shafa qat mujh se hui. Un ki nafrat aur bezar i badhti gayi. Kyun Ke wo Meri baat nahi sunna chahte. Take ye awaz un ke kano me na padhe. Take Mai un ke chehre na dekh saku. Wo apne raste se hatna nahi chahte. Aur un ka gurur unhe Meri baat sunne nahi deta.
Jamaat me khitab kiya aur majlis me jakar samjhaya. Jamat ke alawa un se baat ki. Unchi awaz me aur dhire se, nasihat ne koi unwan ya rang nahi choda.
Aye Allah Mai un se ajiz hu. Hidayat aur samajh ka koi mansuba nahi. Ab Apne deen aur Nabi ka badla lijiye. Aur Zameen par kisi kafir ko zinda na chodo. Jab tak un me se koi baqi rahega wo dusre Momino ko gumrah karega. Ye darkhwast un ki hidayat se mayus hokar ki gai thi.
Aye Allah Mujh se jo bhi khata hui hai use Apne fazl se maaf farma. Aur Mere Walden ke gunah bakhash dijiye. Aur jo Meri Kashti ya Mere ghar ye Meri Masjid me Momin ban kar aaye. Aye Allah Qayamat tak ke tamam Momin mardo aur aurto ko bakhash de.
Hazrat Nuh Alaihis Salam KI Kashti
Nuh Alaihis salam ne itni tawil muddat tak sakht aziate bardasht ki. Akhir me Dua ki aur Allah Ta’ala ne Dua qubool farmaye.Allah Ta’ala ne Nuh alaihis salam se farmaya ke hamare Hukm Taleem aur Ilham ke mutabiq Hamare samne aik Kashti tayar karo. Jo Hamari hifazat aur nigran i me ho.
Kyun ke anqareeb aik khaufnak pani ka toofan aane wala hai. Jis me ye tamam zalim aur jhute dub jayenge. Ye faisla un ke haq me nafizul-amal rahega. Ham se kisi zalim waghera ki sifarish ki baat na karna, aane wala azaab bilkul atal hai.
Kashti Ki Tayyari
Kaha jata hai ke ye Kashti barso me banayi gayi thi aur mukhta lif satho par mush tamil aik bada Jahaz tha. Log kehte the ke Nabi badhai ho gaye hai. Kabhi kabhi koi ajeeb cheez dekh kar Nuh Alaihis salam se puchte ke tum kiya banate ho?
Wo kehte the ke Mai aisa ghar bana raha hu jo pani par chalega dubne wala nahi. Ye sunkar hans pade ke wo khushk Zameen par dubne se bacha rahe hai.
Allah Ka Azaab
Nuh Alaihis salam Kashti tayar karte rahe yaha tak ke Allah Ta’ala ne Badalo Ko barish aur Zameen ko ubal ne aur Farishto ko azaab waghera ke fara’iz anjam dene ka Hukm diya.
Akhir upar se barish hui aur pani niche Zameen ki satah se chash mo ki tarah ubal ne laga. Yaha tak ke aag bhari hui tannur me pani ubal ne laga. Nuh Alaihis salam ke ghar me toofan ki nishani ye thi ke jab tannur se pani ubal pade to wo Kashti me sawar hojaye. Aur zarurat mand janwaro ke jode le kar Kashti par chada de.
Hazrat Nuh Alaihis Salam Ka Beta
Ye tay ho chuka hai ke wo zalim o ki saf me dakhil hone ki wajah se gharq ho jayenge. Isse murad Yam bin Nuh hai jin ka laqab Kanan tha. Aur Kanan ki maa Waila dono gharwalo se alag ho gaye aur dub gaye.
80 admi ya isse kam jo ke Nuh laihis salam par Imaan laye the. Unhone apne Saathiyo se kaha Allah ka naam lekar Kashti par sawar ho jao aur fikar na karo. Is ka chalna aur khada hona Allah ki ijazat aur hukm aur iske naam ki barkat se hai. Is ke dubne ka koi khauf nahi. Mera Rab Maaf karne wala aur Momino par Rahem karne wala hai. Wo apne Fazal se hame ba hifazat utarega.
Nooh Alaihis Salam Ke Bete Ka Dub Jana
Kashti pahad ki tarah lehron me be khauf i se chal rahi thi. Sawari ke baad Nuh alaihis salam ne apne bete Kanan ko awaz di jo apne baap bhaiyo waghera se tamam gharwalo se dur tha aur Kuffar ki sohbat me tha. Ke wo in kafer o ki sohbat chod kar Hamare saath sawar ho. Take wo is azeem aafat se bach jaye.
Bete ne kaha ke jis tarah aik shakhs mamuli selab me unchi jagah par chadh kar jaan bachata hai. Mai bhi apni jaan bachane keliye unche pahad par chadh jaunga.
Baap ne kaha kiya soch rahe ho ye koi mamuli selab nahi azaab-e- ILaahi ka tofan hai. Pahad ki haqiqat kiya hai aaj azaab se kuch nahi bacha sakta. Agar Allah kisi par rahem kare to wo bach sakta hai. Lekin is hangame aur inteqam ki jagah me kattar mujrim o par rahem kaise kiya Jaye. Baap bete ki baat mukammal nahi hui thi ke darmiyan me aik laher aayi aur dono ko hamesha keliye juda kar diya.
Hazrat Nuh Alaihis Salam Ki Allah Ta’ala Se Darkhast
Nuh Alaihissalam ne socha ke mere ahel wo ayal ko is duniya wi azaab se bachane ke liye Imaan shart nahi. To shafqat bhare josh me arz kiya ke. Aye Allah mera beta yaqi nan mere khandan me se hai. Jise Aap ne bachane ka wada kiya hai. Phir use kyun gharq kiya jaraha hai.
Jawab mila ke tumhara pehla muqadama (mera beta mere khandan me) ghalat hai. Wo un logo me se nahi hai jin ko bachane ka wada kiya gaya tha. Kyun ke us ke aamal bahut bure hai. Aur tumhare hi ghar ke log jin ka tumhe pehle hi hukm ho chuka hai. Kiya tum nahi jante ke wo kon hai? Phir tum ko zeb nahi deta ke tum iske bare me puche ya darkhast kare jis ka tum ko ilm na ho. Hazrat Nuh Alaihis salam kanp uthe aur toba ki.
Kashti Judi Pahad Par Ruki
Is khofnak toofan ke waqt Nuh alaihissalam ki kashti Allah ki hifazat aur nigran i me nihayat pur aman tariqe se chal rahi thi. Aik muddat tak itni barish hui ke goya Asman khul gaya aur Zameen ke parde phat gaye aur Darakht aur Pahadiya pani me dub gayi. Jahaz ke Saathiyo ke alawa wo tamam log dub gaye jin keliye Nuh Alaihissalam ne Dua ki thi.
Is waqt Allah Ta’ala ne Zameen ko apna pani nigal ne ka hukm diya. Aur Badalo Ko thahar jane ka hukm diya to phir kiya imkaan tha ke dono iske hukm ki ta’meel me aik lamhe ki takhir karte.
Chuna cha pani khushk hone laga aur Kashti Judi Pahad par ruk gayi Jahaz ke Saathi Judi ke paas aaye phir Zameen par utar gaye. Tum par aur in qomo par ainda bhi barkat e aur salam ti hongi. Is waqt jo zameen toofan se mukammal tor par tabah ho chuki hai. Allah Ta’ala ise dobara aabad kar dega aur iski ronaq e aur barkat e dobara lout aayenge.
Allah Ta’ala ne tasalli di ke Qayamat se pehle puri nasl insani par aisi aam tabahi nahi ayegi. Balke kuch firqe tabah honge. Maujood a Duniya ke tamam insan Nuh Alaihissalam ke 3 Beto Sam, Ham aur Yafis ki aulad hai.