Quraish Ki Aap (SAW) Ko Peshkash
Jab tak Aap sallallahu alaihi wasallam khufiya taur par ahle Makkah ko Islam ki dawat dete rahe. Quraysh ke log Aap (SAW) ko zyada tang nahi karte the aur is muamile ko zyada ahmiyat nahi dete the. Lekin jab Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne khulam khula Islam ki dawat dena shuru ki aur but prasti, kufr aur shirk se wazeh taur par mana farmaya to quraish ke tamam qabail Aap sallallahu alaihi wasallam se dushmani aur mukhalifat karne lage.
Unhone Aap (SAW) ko aur Aap (SAW) ki dawat ko rokne ke liye har mumkin koshish ki aur khufiya mashore kiye. Jab kuch na hua to faisla kiya gaya ke sab se pehle Muhammad sallallahu alaihi wasallam ko Abu talib ki himayat se mehrum karna hai. Take ham inki barahe rast mukhalifat karke inhe kamzor aur be asar kar sake. Chunache is silsile me ye log sardaro ke wafad ki surat me Abu talib se 3 martaba mile aur apna muqadma pesh kiya.
Abu Talib Se Pehli Mulakat
Kyunke Abu Talib ne Muhammad sallallahu alaihi wasallam par Iman na lane ke bawjud inki mukhalifat nahi ki. Balke har tarah se hifazat karte the. Is keliye qaum ke sardaro ka ek numainda wafad unke pass pahuncha. Aur unse kaha ke tumhara bhatija hamare buto ko ghalat kehta hai. Wo hame bewakuf kehta hai. Aur hamare baap dada ko gumrah batata hai. Hamari tum se ye khwahish hai ke ya to tum ise Islam ki dawat dene se roko ya ise hamare pass bhej do. Hum khud isse nimat lenge. Abu taleb ne unki baate nihayat narmi aur sanjeedgi se suni. Aur samjhakar wapas kar diya. Aur na hi Muhammad sallallahu alaihi wasallam ko is kam se roka.
Abu Talib Se Dusri Mulaqat
Kuch dino ke baad ye log dobara abu taleb se mile. Aur unse kaha ke ab paani sar se upar aa gaya hai. Tumhare bhatije ki baate hamare liye na qabil e bardasht ho gayi hai. Hum aapki izzat keliye koi intehai qadam nahi utha rahe hai. Lekin ab hum aapko itla dene aaye hai. Ke agar tum ne apne bhatije ko mana na kiya aur hamare mazhab ki mukhalifat se na roka to hum in se ladne ke liye taiyar hai. Hum me se ek maara jaye ga. Is bar abu taleb bhi qaum ki badhti hui aur bhadakti hui dushmani ko dekh kar pareshan ho gaye.
Aur sara waqiah Muhammad sallallahu alaihi wasallam ko sunaya. Aur kaha pyare bhatije apne aur mujh par raham karo. Apne chicha ki ye baate sunkar Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: chicha! Allah ki qasam! Agar ye log mere dahine hath me Suraj aur baye hath me Chand rakhde. Iske bavjud mai apna kaam nahi chodunga. Jab tak Allah ka Deen ghalib na hojaye ya mai halak na ho jaun. Abu taleb ne Muhammad sallallahu alaihi wasallam ka ye jawab sunkar kaha beta! Tum jo chaho karo, mai tumhe dushman ke hawale nahi karunga. Chunache Aap sallallahu alaihi wasallam ne hamesha ki tarah apna mission jari rakha.
Abu Talib Se Teesri Mulaqat
Quraysh ke sardar teesri bar abu taleb ke pass aaye aur apne sath naya farmula le gaye. Quraysh ke ek nihayat khubsurat aur zaheen ladke ko abu taleb ki khidmat me pesh karte hue kaha. Aap hamari shikayat par tawajo nahi de rahe hai aur hamari har darkhast ko nazar andaz kar rahe hai. Agar aap ko apne bhatije ko khone ka khatra hai. Isliye tum Muhammad ke bajaye is bacche ko lelo. Aur Muhammad ko hamare pass bhej do. Abu taleb ko ye sunkar gussa aaya. Aur kaha ke ye ajeeb baat hai. Ke mai aap ke bache ko apni nigrani me rakhunga aur ise khilaunga. Aur tumhe mere bhatije ko maarne ke liye de dun. Aisa kabhi nahi ho sakta, jao jo karna chahte ho karo.
Quraysh Ke Sardar
Jab sardar quraish ne dekha ke abu taleb par hamari kisi baat aur dhamki ka koi asar nahi ho raha. To wo mayus ho gaye. Aur bahimi mashore se faisla kiya gaya ke khud Nabi Kareem sallallahu alaihi wasallam se barahe rast baat karke samjhota karne ki koshish ki jai. Chunache ye tamam sardar Haram me ek jagah jama hue. Aur kisi ne aap (SAW) ko apne pass bulaya. Chunke aap in logo ki hidayat ke bahut khwahish mand the. Chunache aap (SAW) fauran tashrif laye aur unke pass baith gaye.
Unhone kaha: aye Muhammad! Hum aapki taraf puri qaum ki taraf se bheje gaye hai. Jo surat hal aap ne paida ki hai. Aaj tak hamare liye aise mushkil halat kisi ne nahi banaye. Tum hamare mabudo ko bura kehte ho. Aur hamare baap dada ko gumrah kehte ho. Hamare buzurgo ko bewakoof kehte ho. Tum ne hame alag kardiya. Isliye koi burai aisi nahi jo tum na laye ho. Ab hum aapse ye puchna chahte hai ke akhir aap apni dawat ke zariye kya chahte hai?
Pehli Tajwiz Aur Uska Jawab
Aap (SAW) ki dawat ka maqsad mal jama karna hai. To hum aapko bahut sari daulat denge. Agar sardar banne ke khawahish mand hai to bataye. Hum aapko apna sarbarah taslim karenge. Agar tum badshahi chahte ho to hum tumhe badshah bana denge. Aur agar koi jin hai jo tumhe ye khabar pahuncha ta hai jo tum par ghalib agaya hai. Isliye hum aapke ilaj aur sehat yabi ka intezaam karenge chahe ispar kitna hi kharch ho. Maqsad! Aap jo chahenge hum karenge. Shart sirf ye hai ke aap is dawat ko band kar de. Aur apne is naye mazhab ko khatam karo.
Aap (SAW) ne inki bato ko tawajo aur tahmul se suna. Phir pure itminan se jawab dete hue farmaya: mujhe inme se kisi ki zarurat nahi hai. Jis ka aap ne zikr kiya hai. Mujhe na daulat ki arzoo hai aur na hi kisi ohde ki khwahish hai. Aur na hi mujhe hukumat ki hos hai. Baat sirf ye hai ke Allah Ta’ala ne mujhe tumhari taraf rasool banakar bheja hai. Allah ne apni kitab mujh par nazil farmayi hai. Mujhe hukm diya gaya hai ke mai aap ko itaat ki surat me khush khabri dun. Aur nafarmani ki surat me Allah ke azab se daraun.
Mai ne apne Rab ka paigham tum tak pahucha diya hai. Aur tumhari kher khwahi ka haq ada kar diya hai. Ab agar tum ise qubool karlo to ye duniya aur akhirat me tumhare liye nafa bakh soda hoga. Aur agar tum is paigham ko rad karte ho to mai Allah ke hukm ka intezar kar raha hun jo mere aur tumhare darmiyan faisla kare ga.
Dusri Tajwiz Aur Uska Jawab
Jab sardaran quraish ne dekha ke tumhe duniya wi mal se koi dilchaspi nahi hai. To unhone ek aur tajwiz paish ki. Aap jante hai ke duniya me koi aisi qaum nahi hai jo humse zyada badhal ho, rizq ki tangi me mubtala ho aur paani se mehrum ho. Agar tum sache ho to apne Rab se Makkah ke in pahadon ko hata do. Jis ki wajah se abadi tang ho gayi hai. Take hamara shaher phele aur Shaam aur Iraq ki tarah isme nehre bahhe.
Aur hamare aabau ajdad ko zinda kare. Khas tor par qusai ibn kalab ko kyunke wo hamare bahut sachche buzurg the. Phir agar ye log zinda ho kar aap ki tasdiq kare to hum bhi aap ko qubool kar lenge. Inka ahmaqana mutalba sunkar Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne farmaya. Mujhe in kamo ke liye nahi bheja gaya hai. Mai ne aap ko is kam ke liye bulaya hai jis ke liye mujhe bheja gaya hai. Agar tum log isko manlo to duniya aur akhirat me bhalai hogi. Warna mai Allah ka hukum aane tak intezar karta rahunga.
Tisri Tajwiz Aur Uska Jawab
Un logo ne kaha: agar tum ye bhi nahi kar sakte to kam az kam Allah se apne liye kuch khubiya manglo. Ke wo tumhare sath ek farishta bheje jo tumhari baat ki tasdiq kare. Aur aap ko hum se bachate rahe. Aur apne liye baghat, mehlat aur khazaane rakho. Kyunke ab tum hamari tarah bazar jate ho aur hamari tarah zariya maash ekhtiyar karte ho. Agar aap ye kar sakte hai to ye ho sakta hai ke hum aapki qadr wa manzilat ko taslim karne par majboor ho jaye.
Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: mai ye sab nahi karunga. Aur na hi mujhe in kamo ke liye bheja gaya hai. Meri basat ka maqsad sirf ye hai. Ke mai logo ko sirf Allah ki Ibadat ki taraf bulaun aur nafarmani ke anjam se agah karun. Agar tum log meri baat manoge to duniya aur akhirat me kamyab ho jaoge. Aur agar tum na mano to mai sabr karta rahunga. Jab tak Allah hamare aur tumhare darmiyan faisla na karde.
Chouthi Tajwiz Aur Uska Jawab
Un logo ne kaha. Agar wo aisa na kare to ye kare apne Rab se dua kare ke Asman hamare saro par girade. Jaisa ke aap ko lagta hai ke agar wo chahe to ye karsakta hai. Jab tak aisa nahi hota, hum aap par yaqeen nahi karenge. Aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: ye Allah ka muamila hai. Agar wo aap ke sath aisa karna chahta hai to wo kare ga. Agar nahi, to wo aisa nahi kare ga. Mera isme koi dakhal nahi hai. Mai ne jo kehna tha keh diya. Agar tum manoge to tumhare liye accha hoga, agar nahi manoge to tumhare liye bura hoga.
Jab ke Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne unlogo ki in ghr maqul baato me se koi baat nahi suni. Aur har baat ke jawab me wo Tawhid aur Nabuwat ki dawat dete rahe. Aur jab ise qubool karne aur na manne ka anjam samjhate rahe to un logo ne kaha. Hum aapki koi dawat qabool nahi karte. Hame yaqin hai ke koi farishta aap ke pass nahi aata. Yamamah me ek Ur Rahman nami shakhs rehta hai jo aap ko ye sab baate sikharaha hai. Hum ye kabhi qabool nahi karenge. Aur us waqt tak aap ka picha nahi chodenge jab tak ke hum aapko halak na karde ya aap hame halak na karde. Ye sunkar Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam uthkar chale gaye. Aur unki zid aur beizzati ka aapki sehat par bahut asar hua.
For english click here