Quran Sharif
Quran Sharif aik aise lamehdud samander ki manind hai, jis ka na koi kinara hai aur na koi had. Yehi wajeh hai ke is Ummat ko Muhammad sallallahu alaihi wasallam ke baad kisi aur Nabi ki zarurat nahi. Pehli Ummato ke liye har daur me koi na koi Nabi aaye aur apni kitabon ke zariye in ki rehnumayi ki.
Tourat ki hifazat ki zimmedari in logo ke zimme thi. Anbiya Alaihis salam ke baad Taurat me tabdili aayi. Quran Sharif is Ummat ki rehnumayi ke liye nazil hua hai. Allah Ta’ala ne Quran Sharif ki hifazat ka zimma liya hai.
Quran Pak Dil Ka Sukoon Hai
Quran ki tilawat se dil ko sukoon milta hai, rooh ko tazgi milti hai. Rahmat nazil hoti hai aur tilawat karne walo ko Farishte ghair lete hai.
Quran Qayamat ke din apne padhne walo ki sifarish karega. quran jis ki shifaat karta hai is ki shifaat qubool hoti hai. Quran apne qariyo ke darjat buland karne aur unhe jannat me pohchane ke liye Allah ki bargah me behes karta hai.
Tilawat Quran Ke Aadab
Tilawat Quran Pak se pehle wuzu kare, Quran ko kisi unchi cheez par rakhe, tilawat ke bich me kisi se baat na kare. Agar koi zaruri baat ho to Quran band karke baat kare. Is ke baad Tawuz padh kar shuru kare.Ayat Sajda tilawat par Sajda karna chahiye. Buland awaz se tilawat afzal hai. Agar kisi ko takleef pahunchne ka dar ho to ahista padhe.
Tajweed Se Quran Sharif Padhna
Quran Sharif Tajweed ke sath Rasoolullah sallallahu Alaihi Wasallam par nazil hua. Allah Ta’ala ko ye pasand hai ke Quran jis tarah nazil hua hai isi tarah padha jaye.
Allah Ta’ala farmate hai ke agar ham ye Quran kisi Pahad par nazil karte to tum dekhte ke Allah Ta’ala ke khauf se reza reza ho chuka hota. Aur ham ye misal e logo ke samne bayan karte hai take wo apni zindagi aur amaal par ghor kare.
Quran ko thoda padhna lekin Tajweed aur samajh ke sath padhna bagher Tajweed ke ziyada Quran padhne se behtar hai. Kyun ke Allah Ta’ala ne ghor-o-fikar ko bahut ahmiyat di hai. Ye Allah Ta’ala ki Sunnat hai ke wo mangne par deta hai. Aur talab Allah ke nazdik bahut qimti hai.
Khatm Quran
Jo shakhs din ke shuru me Quran Pak khatam karta hai. Allah ke Farishte sham tak is ke liye rehmat aur maghfirat ki Dua karte hai. Aur jo din ke akhir me khatam karta hai is ke liye Farishte subah tak rehmat aur maghfirat ki Dua karte rahte hai.
Allah Ka Kalaam
Quran se nasihat hasil karna bahut asan hai. Kyunke mazamin qa’il karne aur dhamki dene aur andaz aur Tableegh se mutaliq hai. Wo bahut saaf, sada aur mu’asar hai. Beshak Allah ka kalam gehri sachchaiyo aur barikiyo par mushtamil hoga. Jo kisi aur lafz me dhundna bekar hai. Isi liye Hadees me mazkur hai. Quran ke ajaibat aur asrar kabhi khatam nahi honge.
Quran pak ke asrar. Essa alaihi salam ne murdo ko zinda kya. Insan ki takhliq ki tafseel. Hazrat Musa alaihis salam aur Hazrat Ibrahim alaihis salam. Allah ne insan ko paida kiya. Aur isme ilm ki sifat bhi rakhi gyi. Yane Allah Ta’ala ne insan ko ye salahiyat ata farmayi hai ke wo apne dil ki batein bahut saaf aur khubsurti se bayan karsake aur dusro ki baton ko samajh sake.
Is sifat ke zariye wo Quran sikhta aur sikhata hai. Aur khair wo shar, hidayat wo gumrahi, Iman wo kufr aur duniya wo akhirat ke muamilat ko wazeh tour par samajhta aur bayan karta hai.
Hazrat Umar (RZA) Ka Qissa
Jab Quran nazil hua to sunne waale Arab the. Quran Arbo ki madri zuban me nazil hua. Islam lane se pehle Hazrat Umar Raziyallahu anhu Musalmano ko takleef dete the. Aur Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ko qatal karne ki koshish karte the. Aik din Kuffar ne aik kameti banayi aur mashora diya ke koi Muhammad ko qatal kare.
Umar (RZA) ne kaha mai karunga. Logo ne kaha ke Aap ye zarur karsakte hai. Umar (RZA) talwar latka ye uthe aur chale gaye. Isi fikar ke sath jate hue Hazrat Saad bin abi waqqas Raziyallahu anhu in se mile aur pucha ke Umar kaha jarahe ho? Unho ne kaha ke mujhe Muhammad ke qatal ki fikar hai, (Nauzubillah).
Saad ne kaha ke tum Banu Hashim aur Banu Zahra aur Banu abde Munaf se kaise mutmain ho sakte ho, wo tumhe badle me qatal kar denge. Is jawab par wo ghusse me agay aur bole lagta hai tum bhi be deen hogaye ho (yane Musalman) ho gaye ho.
Unho ne talwar uthayi aur kaha ke pehle tujhe qatal karunga. Aur Saad Raziyallahu Anhu ne bhi kaha ke ha mai Musalman hogaya hu aur talwar leli. Dono taraf se talwar aane hi wali thi ke Saad (RZA) ne kaha. Ke pehle apne ghar ki khabar lo, tumhari bahen aur behnoi dono Musalman ho gaye hai.
Hazrat Umar (RZA) Bahen Ke Ghar
Ye sunkar wo gusse se bhar gaye aur seedha behen ke ghar chale gaye. Waha Khabab Raziyallahu anhu shohar biwi dono ko Quran Kareem ki taleem de rahe the. Umar ki awaz par Hazrat Khabab (RZA) jaldi se andar chup gaye aur jis Sahifa par Qurani Aayat likhi hui thi wo baher reh gaya.
Behen ne darwaza khola to Umar ke hath me kuch tha jo unho ne behen ke sar par mara jis se sar se khoon behne laga. Aur kaha ke tum bhi be deen hogaye ho. Is ke baad ghar me aaye aur pucha ke kiya karrahe the. Aur awaz kis ki thi. Behnoi ne kaha ke baat karrahe the. Kehne lage Kiya tum ne apna mazhab chod kar koi aur Mazhab ekhtiyar kiya hai?
Behnoi ne kaha ke agar dusra Mazhab saccha hai to. Ye sunna tha ke un ki pitayi shuru kar di. Behen ne kaha ke yaqinan ham Musalman hogaye hai jo karsakte ho karlo.
Umar (RZA) Islam Ki Taraf Mutawajjah Hue
Is ke baad Umar Raziyallahu anhu ki nazar is sahife par padi jo jald bazi me chod diya gaya tha aur aap ka ghussa bhi thanda ho gaya. Unho ne kaha acha mujhe dikhao ye kya hai. Behen ne kaha ke tum napak ho aur napak hath is ko chu nahi sakte.
Unho ne bahut israr kya lekin wo baghair wuzu aur ghusl ke tayar na thi. Umar (RZA) ne ghusl kiya. Ye Sahifa Surah Ta’ha par mushtamil tha. Surah Ta’ha ki tilawat shuru ki.
Suran Taha Ka Tarjuma (1-8)
Ta ha (1) Ham ne Tum par Quran isiliye nazil nahi kiya ke Tum takleef uthao (2) Albata ye us shakhs keliye ek nasihat hai jo darta ho (3) Use us zaat ki taraf se thoda thoda karke nazil kiya jaraha hai jis ne Zameen aur unche unche Asman paida kiye(4) Wo badi rahmat wala arsh par istawa farmaye hue hai
(5) Asmano aur Zameen me Jo kuch hai aur unke darmiyan Jo kuch hai wo sab bhi Usi ki malkiyat hai, aur Zameen ki taho ke niche Jo kuch hai wo bhi(6) Agar tum koi buland awaz se kaho (ya ahista) to Wo chupke se kahi hui baato ko, balke aur zyada chupi hui baato ko bhi janta hai (7) Allah wo hai jis ke siwa koi ma’abud nahi, usi ke acche acche naam hai (8)
Tarjuma (9-14)
Aur (aur paighambar) kiya Tum tak Musa ka waqia pahuncha hai? (9)Ye us waqt ki baat hai jab un ko ek aag nazar aayi to inho ne apne ghar walo se kaha: tum yahi tehro, mai ne ek aag dekhi hai shayad Mai us me se koi shula tumhare paas le aao, ya us aag ke pas mujhe raste ka pata mil jaye (10) Chuna nche jab wo aag ke paas pahunche to inhe awaz di gayi ke:
Aye Musa (11) Yaqeen se jaan lo ke Mai hi tumhara Rab hu ab tum apne jote utardo, tum is waqt Tuwa ki muqaddas wadi me ho (12) Aur Mai ne tumhe(Nabuwat keliye) muntakhib kiya hai Lihaza jo baat wahi ke zariye kahi ja rahi hai use ghor se suno
(13) Haqiqat ye hai ke Mai hi Allah hu. Mere siwa koi ma’abud nahi hai, isiliye Meri ibadat karo, aur Mujhe yaad rakhne keliye namaz qayam karo (14)
Quran Kareem padh kar Umar Raziyallahu anhu ka dil bahut mutasir hua. Aur wo Islam ki taraf mail ho gaye. Khabab Raziyallahu anhu jo chupe hue the baher aaye aur khush khabri sunayi ke kal hi Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne tumhari Hidayat ki Dua ki thi.
Umar (RZA) Ka Islam
Chuna Cha In logo ke sath Umar (RZA) Darul Arqam pohche jaha Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam aur Sahaba Karaam Raziyallahu Anhum mojood the. Umar (RZA) ke hath me talwar dekh kar sab pareshan ho gaye. Hamza Raziyallahu Anhu ne kaha ke aane do agar wo neki ke irade se aaye hai. To thik hai warna apni hi talwar se maare jayenge.
Jab wo Rasoolullah (SAW) ke pas aaye to Aap sallallahu alaihi wasallam ne Aap ki chadar pakad kar apni taraf khinchi aur farmaya ke tumhara kya irada hai? Unho ne kaha ke Mai Allah, Is ke Rasool aur Is ki Kitab par Iman rakhta hu. Ye sunkar Aap sallallahu alaihi wasallam ne Takbeer ka nara lagaya aur tamam Musalmano ne bhi aik zuban ho kar Takbeer kahi.
Umar Raziyallahu anhu ke Islam ne Sahaba me khushi ki laher dauda di. Wo sab se pehle apne Islam ka elaan karne wale the. Aur Aap ke qubool Islam ke baad pehli ba jamaat Namaz Masjid e Haram me adaa ki gayi. Aur Musalman Masjid e Haram me Namaz padhne Lage.