Ramzan Kya Hai? Islam Me Ramzan Ki Ahmiyat
Ramzan Kareem hijri saal ka nawwa (9th) mahina hai. Aur pure hijri saal mein apni nauyat ka khas aur rabbani sifat ka hamil mahina hai. Hijri saal Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ki hijrat ke waqt se shuru hota hai. Jab Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ne Hazrat Abubaker Siddiq Raziallahu anhu ke saath Makkah se Madina hijrat ki thi.
Ramzan Kareem Allah Ta’ala ka Inaam
Duniya bhar me lakhon musalman ramzan ke mahine mein roza rakhte hain aur Allah Ta’ala ki ibadat karte hai. Kyunke Ramazan islami saqafat mein saal ka sab se muqaddas mahina hai. Aur Allah Ta’ala ke inamat mein se aik bahut bada inam hai.
Quran Ke Nuzul Ka Mahina
Allah Ta’ala ne is ki aik badi is khususiyat ka izhaar farmaya hai ke is mahine me Quran Majeed ko nazil farmaya. Jo seedha rasta dikhalata hai aur insaanon ke liye hidayat ka zaria hai. Aur acchayi aur burai ke darmiyan faraq batane wali kitab hai.
Allah Ta’ala ka irshad hai:
شَهْرُ رَمَضَانَ الَّذِیْۤ اُنْزِلَ فِیْهِ الْقُرْاٰنُ هُدًى لِّلنَّاسِ وَ بَیِّنٰتٍ مِّنَ الْهُدٰى وَ الْفُرْقَانِۚ-فَمَنْ شَهِدَ مِنْكُمُ الشَّهْرَ فَلْیَصُمْهُؕ.
(Surah Baqarah,185).
Ramzan ka mahina jis mein quran nazil kiya gaya jo ke insano ke liye hidayat hai. Aur hidayat aur haq aur batil ke darmiyan faraq karne wali wazih daleelen hain. Lihaza tum mein se jo koi ye mahina paye to zarur us ke roze rakhe.
Roza Islam Ka Aik Aham Rukn
Roza Islam ke 5 bunyadi arkan mein se Aik hai jo Islam ke 5 aham sutoon hai. Ramzan ke roze Allah Ta’ala ne har aaqil baligh musalman par farz kiye hain. Allah Ta’ala ne roze ke liye ramzan ke mubarak mahine ka intekhab farmaya hai. Jis ko Quran se khas munasibat hai. Aur khas barkaton aur rahmaton ka mahina hai.
Roze Ki Farziyat Ka Hukum
Allah Ta’ala ne roze ki farziyat ka hukum musalmanon ke liye hijrat ke baad nazil farmaya. Allah Ta’ala ka irshad hai:
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا كُتِبَ عَلَيْكُمُ الصِّيَامُ كَمَا كُتِبَ عَلَى الَّذِينَ مِن قَبْلِكُمْ لَعَلَّكُمْ تَتَّقُونَ.
Aye imaan walo! Tum par roze farz kiye gaye jaise tum se pehle logon par farz kiye gaye the take tum parhezgar ban jao. (Surah Baqarah: 183)
Roza Ka Maqsad
Saum ke ma’ane hai rukna aur shariyat ki istelah mein saum (Roza) ka matlab hai har roza todne wali cheez se makhsoos niyyat ke sath sahr se iftar tak ruke rahna. Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam irshad farmate hai:
مَنْ لَّمْ يَدْعُ قول الزور، وَالْعَمَلَ بِهِ فَلَيْسَ لِلَّهِ حَاجَة فِي أَنْ يَدْعَ طَعَامَهُ وَشَرَابَهُ.
Jo shakhs roza rakh kar bhi jhoot bolna na chode badgoyi aur makkari se baaz na aaye. to Allah Ta’ala ko us ke bhoke piyase rahne ki koi zarurat nahi hai.
Roza Ka maqsad insan ko jismani aur ruhani taur par pak karna aur Allah Ta’ala ke qareeb lana hai. Isliye hame chahiye ke ham ramzan mein ibadat aur Quran ki tilawat me kasrat kare. Aur buri aadaton ciggerate, tobacco, sharab waghira ko chod de. Aur jhoot, gheebat, badkari, waghira se tauba kare.
Hyderabad Ramzan Time Table 2024
Ramzan 1445 | March 2024 | Days | Sehri Time | Iftar Time |
---|---|---|---|---|
1 | 12 | Tue | 5:05 | 6:31 |
2 | 13 | Wed | 5:04 | 6:31 |
3 | 14 | Thu | 5:03 | 6:31 |
4 | 15 | Fri | 5:02 | 6:31 |
5 | 16 | Sat | 5:02 | 6:32 |
6 | 17 | Sun | 5:01 | 6:32 |
7 | 18 | Mon | 5:00 | 6:32 |
8 | 19 | Tue | 5:00 | 6:32 |
9 | 20 | Wed | 4:59 | 6:33 |
10 | 21 | Thu | 4:58 | 6:33 |
11 | 22 | Fri | 4:57 | 6:33 |
12 | 23 | Sat | 4:56 | 6:34 |
13 | 24 | Sun | 4:55 | 6:33 |
14 | 25 | Mon | 4:54 | 6:34 |
15 | 26 | Tue | 4:54 | 6:34 |
16 | 27 | Wed | 4:53 | 6:35 |
17 | 28 | Thu | 4:51 | 6:34 |
18 | 29 | Fri | 4:51 | 6:34 |
19 | 30 | Sat | 4:50 | 6:35 |
20 | 31 | Sun | 4:49 | 6:34 |
21 | 1 April | Mon | 4:48 | 6:35 |
22 | 2 | Tue | 4:48 | 6:35 |
23 | 3 | Wed | 4:46 | 6:34 |
24 | 4 | Thu | 4:46 | 6:35 |
25 | 5 | Fri | 4:45 | 6:35 |
26 | 6 | Sat | 4:44 | 6:36 |
27 | 7 | Sun | 4:43 | 6:35 |
28 | 8 | Mon | 4:42 | 6:36 |
29 | 9 | Tue | 4:42 | 6:36 |
30 | 10 | Wed | 4:40 | 6:36 |
Ramzan Ki Ahmiyat Islam Me
Hazrat Salman Farsi Raziyallahu Anhu se riwayat hai: Unhon ne kaha ke Shaban ki akhri tarikh ko Nabi karim Sallallahu Alaihi Wasallam ne khutba diya. Jis me farmaya aye logon! Aik badi azmat wala, badi barkat wala mahina qareeb aagaya hai. Wo Aisa mahina hai ke jis ki Aik raat hazar mahino se bahtar hai. Allah Ta’ala ne is mahine mein roza rakhna farz qarar diya hai. Aur is mahine ki raaton mein taraweeh padhna sunnat qarar diya hai.
Jo shakhs is mahine mein koi Aik nek kaam apne dil ki Khushi se bator khud karega. To wo aisa hoga jaise ke ramzan ke siwa aur mahine me farz ada kiya ho. Aur jo is mahine mein farz ada karega. To wo aisa hoga jaise ke ramzan ke siwa doosre mahine mein kisi ne 70 farz ada kiye. Aur ye sabar ka mahina hai aur sabar ka badla Jannat hai. Aur ye mahina ghareeb aur hajatmando ke sath hamdardi ka mahina hai. (Mishkat Shareef)
Hadees Ki Tashreeh
Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ye khutba mah e Shaban ke aakhir me is liye diya tha ke hame ramzan ki ahmiyat maloom ho. Take ham ramzan ka Aik lamha bhi zaya na karen. Aur is hadees se hame maloom hota hai ke namaz taraweeh ka hukum bhi khud Allah Ta’ala ki taraf se aaya hai. Tamam aimma e karam ka is baat par ittefaq hai ke taraweeh sunnat hai. Sabar ka mahina hone se matlab ye hai ke rozon ke zariye momin ko khuda ki rah me jamne aur apni khwahishat par qabu pane ki tarbiyat di jati hai.
Jo Laylatul Qadr Se Mahroom Raha Wo Har Bhalayi Se Mahroom Raha
Hazrat Anas bin Malik Raziyallahu Anhu se riwayat hai ke Ramzan aaya to Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: ye mahina Jo tum par aaya hai is mein Aik raat aisi hai jo (qadr o manzilat ke aitbar se) hazar mahino se bahtar hai. Jo shakhs is (ki saadat hasil karne se) se mahroom raha wo har bhalayi se mahroom raha. Nez farmaya ke laylatul qadr ki saadat se sirf be naseeb hi mahroom kiya jata hai. (Ibn Majah)
Jis Shakhs Ne Ramzan Ko Paya Aur Apni Bakhshish Nahi Karasaka
Hazrat Ka’ab bin Ujra Raziyallahu Anhu farmate hain: Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne sahaba e karam Rizwanullah Alaihim Ajmaeen ko menbar lane ka hukum diya. Sahaba e karam Rizwanullah Alaihim Ajmaeen menbar le aaye.
Jab Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam pehli seedhi par chadhe to farmaya Ameen. Phir jab dusri seedhi par chadhe to farmaya Ameen. Isi tarah jab teesri seedhi par chadhe to farmaya Ameen.
Jab Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam menbar se neeche tashreef laye to ham ne arz kiya: ya Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Aaj humne aap se aisi baat suni jo is se pehle nahi suni. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Janab Jibraeel Alaihis Salam mere pass aaye aur kaha: us admi ke liye halakat hai. Jis admi ne ramzan ka mahina paya aur apne gunahon ki bakhshish aur ma’afi hasil na karska. Uske jawab me maine ameen kahi.
Phir jab Main dusri seedhi par chadha to Janab Jibraeel Alaihis Salam ne kaha halakat hai us admi ke liye jis ke samne Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ka zikr kiya jaye aur wo Aap par durood na bheje. Maine uske jawab me bhi ameen kahi.
Phir jab Main teesri seedhi par chadha to Janab Jibraeel Alaihis Salam ne kaha jis shakhs ke apne maa baap ya dono mein se kisi aik ko budhape ki halat me paya. Aur unki khidmat karke Jannat hasil na ki. Uske liye bhi halakat ho Maine jawab me kaha Ameen. (Hakim)
Aik Farz Roza Baghair Uzr Chodna
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu kehte hain Rasool Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: jisne bila uzr ya bila marz aik roza bhi tark kiya. Saari umar ke roze bhi us ka kaffara nahi ban sakte. (Bukhari)
Ramzan Ki Fazeelat
Jab ramzan shuru hota hai to Allah Ta’ala Jannat ke darwaze khol dete hai. Aur jahannum ke darwaze band kar dete hain. Aur shayateen aur sarkash jinnat ko qaid kar dete hain. Take ham is mubarak mahine mein zyada se zyada Allah Ta’ala ki ibadat karen aur Allah Ta’ala se apne gunahon ki bakhshish karwayen. Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu ne farmaya: jis ne iman ke sath sawab ki niyyat se ramzan ul mubarak ke roze rakhe to uske pehle tamam gunah maaf kardiye jate hain.
Ramzan Mein Jannat Ke Darwaze Khol Diye Jate Hain
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwayat hai ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab ramzan aata hai to Jannat ke darwaze khol diye jate hain. Jahannum ke darwaze band kar diye jate hain aur shayateen qaid kar diye jate hain (Bukhari & Muslim)
Ramzan Me Umrah Ka Sawab Hajj Ke Barabar
Hazrat Ata rahmatullah alaihi kehte hain main ne Abdullah bin Abbas Raziyallahu Anhu se suna ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ansar ki aik aurat se farmaya: (Abdullah bin Abbas Raziyallahu Anhu ne us aurat ka naam bhi liya magar main bhool gaya hu) tum hamare sath Hajj par kyu nahi chalten! Aurat ne arz kiya hamare paas sirf 2 oont the aik par mera shohar aur beta dono Hajj ke liye gaye hain. Ab aik oont ghar mein hai jis par hum pani waghira late hain. Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: accha jab ramzan aaye to Umrah karlena uska sawab bhi Hajj ke barabar hai. (Muslim)
Har Roz 10 Lakh Logon Ki Bakhshish
Hazrat Ibn Abbas Raziyallahu Anhu se manqool hai ke Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke Allah Ta’ala mah e ramzan mein har din iftar ke waqt 10 lakh gunahgaro ko dozakh ki aag se bari farmadete hain. Aur wo sab ke sab wo hote Hain jis par jahannum wajib hochuki hoti hai. Aur ramzan ke aakhri roz pore ramzan me ma’af hone walon ke baqadar logon ko ma’af kardiya jata hai.
Ramzan Me Allah Ta’ala Ke Khususi Inaamat
Hazrat Jaber bin Abdullah Raziyallahu Anhu se riwayat hai ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshad farmaya: meri ummat ko Ramzan Shareef ke bare me 5 cheezen makhsoos taur par di gayi hain. Jo pehle kisi Nabi ko nahi mili hain.
1. Jab ramzan ki pehli raat hoti hai to Allah Ta’ala apne bandon ko nazr e rahmat se dekhte hain. Aur jis ki taraf nazr e rahmat se dekhte hain usko kabhi azab na denge.
2. Unke munh ki badbu sham ke waqt Allah Ta’ala ke nazdeek mushk se zyada pasandida hai.
3. Har din aur Raat mein farishte unke liye maghfirat ki dua karte hain.
4. Haq Ta’ala Shanah Jannat ko hukum dete hain ke mere bandon ke liye tayyar aur arasta hoja. Qareeb hai ke mere bande duniya ki mashaqqat aur thakan se mere ghar me aaram pawen.
5. Jab aakhri raat hoti hai to Allah Ta’ala tamam rozadaro ki maghfirat farmadete hain.
Aik Sahabi ne arz kiya: ye shab e maghfirat shab e qadr hai ?
Farmaya: nahi Kiya tum ne mazdooron ko nahi dekha. Jab wo apne kaam se farigh hojayen to unko puri puri mazdoori dedi jati hai.
Insaan Ki Tarbiyat Ka Mahina
Ramzan ka mahina aik tarbiyati daur hota hai. Jis mein insaan akhlaqi aur rohani tarbiyat hasil karta hai. Ramzan ke dino mein sadqa aur khairat ki aadaten badhti hai. Jo muashirati aur akhlaqi bahtari ka rasta hai. Masakeen aur ghareebon ki madad karne, zakat dene aur khairat ke zariye degar mohtajon ki madad ke zariye.
Is mahine mein ghussa, behayai buraiyon aur gunah ke kaamon se bachne ke liye shakhsiyati tarbiyat milti hai. Jo aik musalman ki deeni aur duniyawi zindagi mein bahtari lati hai. Khulasa ye hai ke ramzan aik mubarak mahina hai jo musalmano ko imani aur akhlaqi bunyado par mazbooti faraham karta hai. Aur unhen muashirati ruhani aur akhlaqi bahtari ki rahon par chalne mein rahnumayi faraham karta hai. Ye mahina bande ko Allah Ta’ala ke qareeb lane aur aik bahtareen rah par chalne keliye hidayat deta hai.